View Single Post
Old 29-07-2011, 08:01 PM   #1
.BZU.
Lightbulb Pata tha sab kuch kaash pehlay sambhal jata

Apni dunia main yoon mast rehta tha main
Moot ki fikar na karta tha main

Gunah ko gunah na samjhta tha main
Lazzaton kay pechay bhagta tha main

Dil chahta tha kabhi kay parhon namaz
Par Jism ko masjid tak na lay ja pata tha main

Dunia ki ronaq main rehta th amagan
Waqt apni yaari dosti main barbad kerta tha main

Phir aik din achanak aankh kay agay andhera chhaya
Phr aankh khuli tu apny aap ko qabar main paya

Ghar jana chaha, laikin ja na paya
Dar lagta hay mujhay iss andhary say

Awaaz deta hon laikin koi sunta nahi
Kia karon main kuch samjh nahi aata

Pata tha sab kuch kaash pehlay sambhal jata.

  Reply With Quote