
Aaj rota howa aik shakhs bahot yaad aaya
Acha guzra howa kuch waqat bahot yaad aaya
Meri aankhon ke har ashaq pe rone wala
Aaj aankh jab roi to bahot yaad aaya
Jo mere dard ko seenay mein chupa leta tha
aaj jab dard howa mujhko to bahot yaad aaya
Jo meri aankh mein kajal ki tarah rehta tha
aaj kajal jo lagaya to bahot yaad aaya
Jo mere dil ke kareeb tha faqat usi ko dil ne
aaj bulaya to bahot yaad aaya