Hawa ban kar bikharne se:
Hawa ban kar bikharne se,
usay kia farq parta hy,
Mere jeene ya marne se,
usay kia farq parta hy,
Usay to apni khushion se zara fursat nahi milti,
Mere gham k ubharne se,
usay kia farq parta hy,
Wassi us shakhs ki yadon main tum rote raho lakin,
Tumhare aisa karne se,
usay kia farq parta hy.