Band kitab main Khali Aouraq rakhta hoon,
Dil ko aayeenay ki tarah shafaf rakhta hoon,
Ik bar ka milna ker daita hay mutasir,
Apni guftugu main aisa andaz rakhta hoon,
Mujh say milo to zara faslay say mila kero,
Main dil main utar janay ka kamal rakhta hoon,
Har dukh ko yunhi bant daita hoon lafzon main,
Kuch aisa he dostana mizaj rakhta hoon..