Muqadar aazmanay main zamanay beet jatay hain,
Muradain dil ki panay main zamanay beet jatay hain
Nahi karta koi himmat agar izhar e ulfat ki,
Zuban par baat lanay main zamanay beet jatay hain
Muhabbat zindagi main bari mushkil say milti hay,
Magar isko nibhanay main zamanay beet jatay hain
Agar ek baar aankhon main achanak aa basay koi,
Usay dil say bhulanay main zamanay beet jatay hain