Zindagi par kitab likhon ga
Uss mein saray hisaab likhon ga
Pyar ko waqat guzari likh kar
Chahaton ko azaab likhon ga
Hoi bardaab mohabat kesay
Kesay bikhray hein khawab likhon ga
Apni Khawhish ka tazkira kar kay
Naam uss kay jawab likhon ga
Us ski aankhen sharab ki manind
Uss ka chehra gulab likhon ga
Mein uss sey judai ka sabab
Apni kismat kharab likhon ga