Hum dil sey utar jayengay maloom nahi tha
Sub khuwab bikhar jayengay maloom nahi tha
Utertay thay kabhi jheel si ankhon mein unki
Hum dob kar maar jayengay maloom nahi thaa
Ye shama jalai tu ujalon kay leay thi
Parwanay hi jal jaiyengay maloom nahi thaa
Hum jin kay leay zamanay sey laray thay Faraz
Wadon sey mukar jayengay maloom nahi thaa