View Single Post
Old 27-10-2009, 07:51 PM   #39
usman_latif_ch
Default Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Quote:
Originally Posted by .BZU. View Post

usman aap Pehlay aap oper walay 17 questions ka answer to dain..


But aap ki saari behis say itna saaf zahir ho raha hay kay.... aap in baton ki sacha sabit karnay ki koshish kar rahay hain...

Allah nay zameen par us hasti ko
Lakri main Jaan dalnay ki taqat di hay (Jaan dalana sirf Allah ki sifat hay) jis kay li ay Allah nay kaha hay kay wo kabhi kamiyab nahi ho sakta.

Aur Yeh bhi kay...

Hazart Mohammad SAW Jado zara shakhsiyat they, (Jaisay kay Mushrakeen e makah ka iman tha)

Allah tala nay Sleman A.S ko frishton kay zariay Kufar ju taleem di...

Jadogar ko Allah nay nakamiyab kaha hay. aur Allah nay jadogar ko Dunia jahan kay sab kaam karnay ki taqat di hay....


  • Agar aap saari behis is li ay nahi kar rahay tu kis li ay kar rahay hain?
  • Aur agar aap yeh bat kay li ay behis kar rahay hain tu quran main majeed ki aur ahadees ko quote karain ?

Abh mujhay abhi exams ki study karna hay... will contact you ASAP...
mujhy sach yan jhoot sabit kr k kya lena ha kisi sy namera koi firqa ha na mein koi bohat bari postion pr ha na mere peechy koi mananay waly muraid hain

mujhy jo haq lag raha ha wohi janta hn
ap log jan kr sahi Ahadees ko quran sy takra rahy hain

abhi tu yeh tu ek masla ha or bhi bohat sy aesy masly hain or aesy pata nahi kitni sahi ahadees galat ho jati hain ap k liye
abhi tu apka pata nahi ek or bhi log hain jo azab e qabar ko bhi nahi manty
kyoun k quran mein kahin iska zikar nahi or wo bhi aesy he quran ki kuch aeyat ki apni taraf sy tashreeh kr k sb azab e qabar ki balkh or bhi bohat sy masael ki ahadees galat kr rahy hain or yehi munkareen e ahadees hain

mujhy nahi pata kis ko kya diya ha mujhy yeh pata ha jo Allah ny kaha saf translation ha isski



---------- Post added at 07:51 PM ---------- Previous post was at 07:49 PM ----------

Quote:
Originally Posted by .BZU. View Post


waisay yeh iss li ay kaha ja raha hay kay Quran main Allah tabrq watala nay khud farmaya kay kay jado gar kabhi kamiyab hei nahi ho sakta hay...chahay jadogar kisi bhi tareeqay say kuchh kar kay dikaha ay..


han jado ghar nahi kamyab ho sakta mein bhi manta hn
balkeh yahan tk k shetan b kabhi kisi ko wargalany mein kamyab nahi ho sakta jab tk k Allah na chahy