View Single Post
Old 27-10-2009, 12:12 AM   #22
.BZU.
Islamic Re: Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU

Quote:
Ap ajkal khud sy interpretations kr rahy hain tu mein ny yeh janana ha k iss aeyat mein wo kya cheez ha jis sy mian biwi mein tafarqa dal deti ha......
Wo loog kehtay thay kay is say Miyan biwi main tafarqa ho jata hay , (is ilam say)...
But yeh un kay li ay nuqsaan deh tha. because yeh sirf kufar tha.. aur kufar har kisi kay li ay nuqsaan deh hota hay.. aaj nahi tu qiyamat walay din zaror nuqsaan deh hay...
But Allah nay kia kaha hay... yeh bhi tu parho na aap....
Quote:
Allah k hukam k siwa iss (jado) sy kisi ka kuch nahi bigar sakty thy or kuch aesy (mantar) seekhty jo inko nuqsan he pohchty or kuch faida nahi or jis cheez k eewaaz unhon ny apni jaanon ko baich dala wo buri thi.






---------- Post added at 01:12 AM ---------- Previous post was at 12:26 AM ----------
Quote:

yeh tu trick tha na mein jado ki bat kr raha hn yeh tu apny khud he proov kr diya trick ha laqin jado aesa nahi hota wska physical effect hota ha

Jab jadogar apnay jado say Kisi ko ghar baithay hei nuksaan (phisically effect) pohuncha sakta hay tu . Yeh kiyon nay mantay kay jadogar kamiyab ho jata hay. (Agar jadogar ka maqsad hei kisi ko physical effect karna ho ? tu kia Allah usay physically effect karnay day ga.. aap kay concept kay mutbiq zaror karnay day ga. aur us time Allah yeh bhool ja ay ga main nay Quran main yeh likha hay kay yeh beiman shakhas kamiyab nahi ho sakta )

Quote:
Originally Posted by usman_latif_ch View Post
kaise mantr thy jo unko nuqsan he ponchty thy faida nahi......
Mantar Allah nay quran majeed main nahi likhay tu mujhay kia pata hoga. yahan kay yahoodi jo bhi mantar kartay thay . Allah nay un ki baat ki hay kay wo jo mantar kartay thay.

Quote:
Originally Posted by usman_latif_ch View Post
jesy hindu buton sy mangty hain magr deta tu allah he ha na tu kya wo bhookhy marty hain wo tu apny bhagwanon sy mangty hain tu kya unko nahi milta kuch, milta ha na or deta tu allah he ha na
hmm...
tu hindon ka aqeeda bhi sahi huya na. Is trah tu bhagwan bhi jo marzi aa ay kar sakta hay na... tu aap un kay aqeeda ko kiyon nahi mantay. jab aap yeh baat maan rhay ho kay Jadogar bhi Allah ki marzi say kar sakta hay...


Ghoor karo: Quran main tu Allah nay saaf saaf keh diya kay jadogar koi nuksan nahi pohuccha saktay. kisi ko effect nahi kar skaty .. aap kehtay ho kay kar saktay hain... Right..

Jabkay Allah nay quran main Bhagwan kay rizaq dene ya na dene ki koi baat bhi nahi ki. aap un ka aqeeda phir kiyon ghalat maantay hain..



-----------
Molvi peer tu phir bhi Allah ki di hoi kitab ko (jiska Allah say relation tu hay kay Allah pak ki taraf say bheiji gai hay) taweez banatay hain. Phir bhi un ki logic banti hay. Aur Allah nay quran main taweez karna kahein par ghalat nahi kaha.. (But Hadees kay mutabiq yeh ghalat hay)

---
Jadogar ka jado (Mafooqul Asbaab jadoo). ka tu zara sa bhi Allah kay saath koi relation nahi hota hay. Because jadogar yeh bakwas kartay hain kay . yeh sab ham nay khud hei kia hay.jaisa ka Firon kay jadogar. unhon nay yeh tu nahi bola tha na kay yeh Allah ki madad say hoga.wo tu yeh mantay bhi nahi thay kay Allah hay. phir jab unhain pata chala kay wo haar gay hain tu tab unhon nay kaha kay hum Mosa aur Haroon kay rab ko mantay hain.

is say saaf pata chal jaata hay kay jadoo gar khud apnay aap ko yeh manta hay kay wo apni mari say jo kuch chahay kar sakta hay...

even kay Allah nay quran majeed main farma bhi diya kay yeh sab ghalat hay.yeh sab un ka shubada tha.fareeb tha. aur na hei is say koi nafa nuqsaan ho sakta hay.

Quote:
Ap ajkal khud sy interpretations kr rahy hain
By the way aap ki interpretation say yeh baat sabit hoti hay kay dunia main Allah nay Kafir Jadogar ko har kaam karnay ki taqat di hay. jab kay Allah kay siwa kisi aur hasati main har kaam karnay ki taqat man lena kufar aur shirk hay...
Quote:
Ay allah...
But meri interpretation say aisa bilkul nahi sabit hota kay Allah ka koi sharek hay.

Abh agay aap ki marzi hay aur aap ka concept ... main nay jitna samjhana tha samjha diya. Allah hum sab ko Sacha paka muslim bana ay...