View Single Post
  #8  
Old 06-10-2009, 11:12 PM
Muzammil's Avatar
Muzammil Muzammil is offline
Super Moderator

 
Join Date: Oct 2008
Location: Mars
Posts: 822
Program / Discipline: English
Class Roll Number: 1234
Muzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud ofMuzammil has much to be proud of
Default Re: Tahir Ul Qadri Sajda karvaate huay !þ

First of all, this site is not related in condition to Bahauddin Zakariya University, This is just and online forum connecting BZU Students

Second thing ki yeh ek open online disscussion forum hai yahan hur users ko permission hai ki woh kisi cheez ke related bhi disscuss ker sakta hai in proper catogery. aur is forums ke owners us ke risponsible nahi hai in any condition. hum kisi bhi users ko force nahi ker sakte ki aap yeh na disscuss karo woh na disscuss karo then how we run our site? hum sirf yeh dekh sakte hain ki koi kisi bhi topic per bad languages na use kare and larayi na ho kisi bhi topic per.. and i saw that, is poore topic per aisa kuch bhi nahi hua.. agar aap ko apna opinion dena hai is poore mamle me then aap bhi replies karo no problem at all.. yahan koi kisi ke khilaaf kuch nahi kia jaa raha hai ek user ko koi baat sahi nahi lagi jo ki poori tarah uski personal soch thi to usne yahan share ki aur kuch users ne jo ki usse agree kerte the unhone ne replies kiye.. then whats the problem..? kya hamne yh thread sticky ka hua hai ya main page per is ka link lagaya hua hai..? ya users ko force ker rahe hain ki woh is baat per agree kare..? no way.. hur users ki apni personal soch hai aur woh poori tarah free hai kisi topic per disscuss kerne ke liye in decent language..

now my personal opinion on this matter..

me zyaadaa naahi jaanta hadiths ke baare me bcoz sorry to say me bhi un lakhon logon me aata hoon jo duniya me itne gum hain ki unhe apne deen ke liye time nahi.. but i have one question..zara socho koi banda kisi mazar per fatiha perh raha hai and uske baad usne us mazar ko chooma aur kuch bhi kia chahe woh as a respect kia ho but socho agar koi non muslim ya koi muslim jo ki zyada islaam ke baare me na janta ho woh yeh dekhega to kya sochega..? woh yeh sochega ki naaozobillah un mazar me itni taqat hai ki woh hamara achcha bura ker sakta hai and hame apni fariyad unse kehni chahiye.. woh hamara bhala karega aur yehi ho raha hai aaj kal poori duniya me mazaron per.. kitne non muslim and muslims jaate hain mazaron per maangne to kya hamari yeh responsibility nahi hai ki hum aisa koi kaam na kare jisse shirq ko bhadawa mile..? kya kal qayamat ke din aalah taala hame is baat per nahi pakdega ki tune to ek kaam kiya but tujhe dekh ker hazaron logon ne shirq kya ..? kya un sab shirq ka gunah us shakhs ke gardan per bhi nahi hoga jise dekh ker woh start hua..? in my opinion hoga.. hume aisa koi kaam nahi kerna chahiye jo ki galat na ho but aisa kaam bhi nahi kerna chahiye jo galat na hote hue bhi galat lage.. aap to kehto hi haan yeh sajda kerna galat hai bcoz aap ko ilm hai in baaton ka but jise ilm nahi hai kya kabhi unse jaa ker poocha hai woh kya soch ker yeh karte hain..? bhai sahab woh kisi ke haath ko ya feet ko respect me nahi choomte woh is liye choomte hain bcoz woh sochte hain ki yeh hamara achcha nad bura ker sakte hain.. to kya us haath aur feet ko chumwane wale per kal qayamat ke din paqad nahi honi hai ki tune apna haath kyon nahi jhatka..? mere hisaab se hogi zaroor hogi.. thats all..

allah taala hamse aisa koi kaam na kerwaye jaane ya anjaane me jisse hum shirq ko bhadawa dene walo me gine jaayen.. Aameen..

__________________
Some thing about me but hardly can find
http://www.muzammilbashir.com/
Reply With Quote