Usey Batana
Gham-e-Zamana
Faraib Dega
KhayaL Rakhna!
WaFa K Raste Se Lot Jana
Faraib Dega
KhayaL Rakhna!
Sakoon Dain gi Wisaal Raatain
Chain Dain ge Udaas Lamhe
Magar Ye PaL Bhar Ka
Muskurana
Faraib Dega
KhayaL Rakhna!
Tu Khwab Ks ka
May Khwab Ks ka
Na Pyar Mujh ko
Na Pyar Tum ko
Ye ik Duje K Paas Aana
Faraib Dega
KhayaL Rakhna!
Jo Qeher Toota hai Dil Pe Mere
Wo Qeher Tote na Ab Ksi Pe
Ye DiL Jalana
Ye Ghar Lutana
Faraib Dga
KhyaL Rakhna