View Single Post
Old 21-09-2009, 06:20 AM   #1
احسل
Default Reality of Sufi'ism/Tasawaf/Spirituality....?

Asalam o Alaikum
Usman Latif Ch sahab!
Allaah paak aap ko jazay Khair ata farmay, ameen

aap nay kuch batain ki jin main shaid 5% sadaqat ho saktu hay.
laikin banday nay apni tamaam uner iss shoba e deen main guzar di hay.

aap agar pasand karain to Tasawuf e Islami kay mutalak jo ghair sharai
af'aal muasharay main raij hain, banda un kay mutalik aik alihida thread
open kar kay baat kar lay aur ap ki iss mail ko hawala bana lya jay to kaisa
rahay ga. Laikin kabal iss kay k baat ho sakay aap ki ijazat matloob hay.

umeed hay kay aitaraz baray aitaraz to bat karna yaha maqsood nahi.

agar seekhnay aur sikhanay ki baat hay to phir aapkay hawalay ko bunyaad
banana buhut zaruri hay. jawabaat bhi usi thread main atay rahay gay.

insha allaah

ulma e haq go nay is baat ki wazahat ki hay kay tanqeed karna asaan hay laikinn islah baray islah kay samundar main utarna dunya ka sab say mushkil kaam hay. tanqeed ka haq sab ko nahi hota. balkay ahle fun hi us per jaraah karain gay. Ap sawal kar saktay hain kay quran aur hadis say ahle tasawuf kay manasib aur is ka saboot farahum kya jay?

ap ki bato say mehsoos hota hay kay app bhi kisi peer sahab kay dasay huay hain. jo apnay aap ko qalander kahtay thay. aur niklay ccharsi. LOL.......aisa hi fitna muashray main phaila hua hay. Allah pak sab ko mehfooz rakhay.ameen

ijazat dain kay banda alihida thread main apkay ashkalaat duur kar day . kya maaloom kay usman Latif Chaudhary buhut say behen bhaiyu ki hidayat ka sabab bun jay aur Usman Latif Chaudhary ki wajah say kharay khotay ki pehchan ho jay........................??

jawab ka ab intazar rahay ga

:}

نافسفاك
Khair andaish Banda
احسل
  Reply With Quote