Tu mera naam na poocha kar..!
Main teri zaat ka hissa hoon,
Main teri soch main shamaya hoon,
Main teri neend ka Qissa hoon,
Main taray khwab main samaya hoon
Tu mera naam na poocha kar
Main teri yaad ka mehwar ho
Main teri saans ka jhonka hoon
Tum manzar main pas-e-manzar ho
Main lamha hoon main jazba hoon
Jazbay ka koi naam nahi hota
Tu mera naam na poocha kar
Main teri zaat ka hissa hoon