Ab khof nahi koi mujhay raah e guzar say
Main door nikal aaya hun pathar kay nagar say
Kisi bhi morh pay ham zaroor milain gay
Yah baat mujhay maaloom hay aaghaz e safar say
Jaisa bhi hoon acha ya bura apnay liyay hoon
Main khud ko nahi daikhta auron ki nazar say