Usnay jab jab bhi mujhay dil say pukara mohsin,
Main nay tab tab yah bataya kay tumhara mohsin
Log sadyon ki khtaon pay bhi khush bastay hain,
Hum ko lamhon ki wafaon nay ujara mohsin
Jab aa gaya yah yaqeen ab woh nahi ayay ga,
Gham or aansoo nay diya dil ko sahara mohsin
Woh tha jab paas to jeenay ko bhi dil karta tha,
Ab to pal bhar bhi nahi hota guzara mohsin
Us ko apana to muqadar ki lakeron main nahi,
Us ka khona bhi karain kaisay gawara mohsin