Main kisi aur ka hoon itna bata kar roya,
Woh mujhay mehandi lagay hath dikha kar roya
Umar bhar ki judai ka khyal aaya tha shayad,
Woh mujhay paas apnay dair tak bitha kar roya
Ab kay na sahi zaroor hashar main milain gay,
Yakja honay kay dilasay dila kar roya
Mujh say ziyada bicharnay ka gham usay tha,
Waqte rukhsat woh mujhay seenay say laga kar roya