Mujhay acha sa lagta hay,
Tumharay sang sang chalna
Wafa ki aag main jalna,
Tumhain naraz kar dena
Kabhi khud rooth sa jana,
Tumhari berukhi par bhi
Tumhari aarzu karna,
Khud apnay dil ki dharkan say
Tumhari guftagu karna,
mujhay acha sa lagta hay
Bohat acha sa lagta hay,
Tumhi ko dekhtay rehna
Tumhi ko sochtay rehna,
Bohut gehray khayalon main
jawabon main sawalon main,
Muhabbat kay hawalon main
Tumhara naam aa jana,
Mujhay acha sa lagta hay