Tu bata ay dil-e-betaab, wo kahan aaty hain
Humko khush rehny k adaab kahan aaty hain,
Mein to yakmusht usy sonp doon sab kuch lekin
Ek muthi mein mere khwaab kahan aaty hain,
Mudaton baad tujhy dekh k dil bhar aaya
Warna sehraon mein silaab kahan aaty hain,
Meri bedaar nigahon mein agar bhooly se
Neind aay bhi to ab khwaab kahan aaty hain,
Shiddat-e-dard hai ya kasrat-e-mai- noshi hai
Hosh mein ab tere betaab kahan aaty hain,
Hum kisi tarah tere dar pe thikana kar lein
Hum FAQIRON ko ye adaab kahan aaty hain,
Sar-basar jin mein faqat teri jhalak milti thi
Ab muyassar hamain who khwaab kahan aaty hain