![]() |
Tu bata ay dil-e-betaab, wo kahan aaty hain Tu bata ay dil-e-betaab, wo kahan aaty hain Humko khush rehny k adaab kahan aaty hain, Mein to yakmusht usy sonp doon sab kuch lekin Ek muthi mein mere khwaab kahan aaty hain, Mudaton baad tujhy dekh k dil bhar aaya Warna sehraon mein silaab kahan aaty hain, Meri bedaar nigahon mein agar bhooly se Neind aay bhi to ab khwaab kahan aaty hain, Shiddat-e-dard hai ya kasrat-e-mai- noshi hai Hosh mein ab tere betaab kahan aaty hain, Hum kisi tarah tere dar pe thikana kar lein Hum FAQIRON ko ye adaab kahan aaty hain, Sar-basar jin mein faqat teri jhalak milti thi Ab muyassar hamain who khwaab kahan aaty hain |
| All times are GMT +5. The time now is 03:48 PM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.