04-07-2009, 10:17 AM
|
| Super Moderator | | Join Date: Oct 2008 Location: Mars
Posts: 822
Program / Discipline: English Class Roll Number: 1234 | |
lafz-e-muhbbat " ik lafz-e-muhbbat ka adnaa yah fasaana hai
simte to dil-e--aashiq' faile to zamana hai...
yah kiska tasbbur hai, yah kaisa fasana hai
jo ashk hai aankho.n main tasbeeh ka dana hai
yah ishq ke maro ka itna hi fasana hai
rone ko nahi koi , hansne ko zamana hai
kya hushn ne samjha hai, kya ishq ne jana hai
hum khaknasheeno.n ki thokar main zamana hai
Yah ishq nahi aasaa.n itna samajh liije
Ek aag ka dariya hai doob ke jana hai.
mujhko isi dhun main hai har lamha basar karna
ab aaye, wo aaye, laazim unhe aana hai
aanshu to bahut se hai.n aankho.n main 'zigar' lekin
bindh jaye to moti hai, rah jaye to dana hai....... |