06-11-2011, 03:11 PM
|
| Sagar | | Join Date: Apr 2010 Location: Multan Pakistan
Posts: 223
Contact Number: 03334840676 Program / Discipline: Engineering Class Roll Number: 05-ME-45 | |
mohabbatain jab shumaar karna... mohabbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumar karna jo mairay hissay main aai hain wo aziyyatain bhi shumaar karna jalaey rakhon gi subha tak main tumharay raston main apni aankhain magar kahin zabt tout jaey to baarishain bhi shumaar karna jo harf koh-e-wafa pay likhhay huey hain unn ko bhi daikh laina jo raaigaan ho gain wo saari ebaratain bhi shumaar karna yeh sardion ka udaas mousam kay dharkanain barf ho gai hain jab inn ki yakh bas’tagi parakhna tamazatain bhi shumar karna tum apni majboriyoun kay qissay zaror likhna wazahaton say jo mairee aankhon main jall bujhi hain wo khwahishain bhi shumaar karna Regards |