chalnay ka hosla nahi rukna muhal kar diya, Ishq kay is safar nay to mujh ko nidhal kar diya chalnay ka hosla nahi rukna muhal kar diya Ishq kay is safar nay to mujh ko nidhal kar diya Miltay hoay dilon kay beech or tha faisla koi Us nay magar bichartay waqt or sawal kar diya Ay maray gul zameen tujhay chah thi aik kitab ki Ahl e kitab nay magar kya tera haal kar diya Ab kay hawa kay sath hay daman e yar muntazir banooay shab kay hath main rakhna sawa kar diya Mumkina faislon main aik hijar ka faisla bhi tha Ham nay to aik baat ki us nay sawal kar diya maray labon pay mohar thi par maray sheesha rooh nay to Shehar kay shehar ko mera waqif e haal kar diya Chehra o naam aik sath aaj na yaad aa sakay Waqt nay kis shabih ko khwab o khyal kar diya Mudaton baad us nay aaj mujh say koi gila kiya Mansab e dilbari pay kya mujh ko bahal kar diya Chalnay ka hosla nahi rukna muhal kar diya Ishq kay is safar nay to mujh ko nidhal kar diya |
Re: chalnay ka hosla nahi rukna muhal kar diya, Ishq kay is safar nay to mujh ko nidhal kar diya Parven Shakir poetry i know. We have the same liking. hihi:bluebowdanc: |
All times are GMT +5. The time now is 02:15 AM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.