chalnay ka hosla nahi rukna muhal kar diya
Ishq kay is safar nay to mujh ko nidhal kar diya
Miltay hoay dilon kay beech or tha faisla koi
Us nay magar bichartay waqt or sawal kar diya
Ay maray gul zameen tujhay chah thi aik kitab ki
Ahl e kitab nay magar kya tera haal kar diya
Ab kay hawa kay sath hay daman e yar muntazir
banooay shab kay hath main rakhna sawa kar diya
Mumkina faislon main aik hijar ka faisla bhi tha
Ham nay to aik baat ki us nay sawal kar diya
maray labon pay mohar thi par maray sheesha rooh nay to
Shehar kay shehar ko mera waqif e haal kar diya
Chehra o naam aik sath aaj na yaad aa sakay
Waqt nay kis shabih ko khwab o khyal kar diya
Mudaton baad us nay aaj mujh say koi gila kiya
Mansab e dilbari pay kya mujh ko bahal kar diya
Chalnay ka hosla nahi rukna muhal kar diya
Ishq kay is safar nay to mujh ko nidhal kar diya