ajab tamasha ye zeesat thehri wajood apna, na rooh apni ajab tamasha ye zeesat thehri na dil lagi mai sakoon aya na ashqi mai qarar paya na wasal lamhay hi raas aye na hijer he ham guzaar paye ajeeb chahat k marhalay hain na jeet paye, na haar paye na teri yadon ki dhund uteti na dil k daman ko jhaar paye na ankhean khwabon ko dhund pa'ean na khwaab ankhon ko dhund paye ajab tmasha ye....... |
Re: ajab tamasha ye zeesat thehri v nice snow..........as usual...... Ye shab e firaq ye bebasi, hain kadam kadam pa udasian Mera sath koi na da saka, meri hasratein hain dhuwan dhuwan Ma trap trap k jia to kya, maray khwab mujh sa bichar gae Ma udas ghar ki sada sahi mujhy da na koi tasalian Ye fiza jo gard o ghubar ha meri bekasi ka mazar ha Ma wo phool hon jo na khil saka, meri zindgi ma wafa kahan Chali aisi dard ki andhian maray dil ki basti ujar gai Ye jo raakh si hay bhuji bhuji, hain isi me meri nishanian... |
All times are GMT +5. The time now is 01:57 PM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.