BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

Go Back   HOME > Welcome to all the Students > Islam > Online Islamic Books
Online Islamic Books Download and Read online Islamic books



Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 6 votes, 3.33 average. Display Modes
Old 25-10-2009, 08:14 AM   #1
.BZU.
Islamic Shirk ki Aqsaam (Quran o Hadees ki nazar mein). Types of Shirk according to quran and sahee hadit

Name:  Types of shirk. what is shirk.gif
Views: 8316
Size:  32.3 KB

Name:  Types of shirk. what is shirk2.gif
Views: 4476
Size:  34.8 KB

Name:  Types of shirk. what is shirk3.gif
Views: 4882
Size:  32.2 KB

Name:  Types of shirk. what is shirk4.gif
Views: 6690
Size:  33.0 KB
  Reply With Quote
Old 25-10-2009, 09:47 AM   #2
usman_latif_ch
Default Re: Shirk ki Aqsaam (Quran o Hadees ki nazar mein). Types of Shirk according to quran and sahee hadit

apki di hwi book perhnay k bad bhi mujhay abhi tk apkay iss 3rd point sy itfaq nahi ha...
apny sari aeyat tu quran sy quote ki hain or kuch hawaly bida'tiyon k bhi diye hain masaallah sy magr apki sari aeyat ki tashreeh apny andaz sy ki ha apna mantaqi falsafa sunaya ha jab k quran pak mein jo ap kehty ho wazeh tore pr kahin nahi likha or quran ki aeyat ka apny andaz sy falsafa suna kr sahi ahadees ka inkar munkar e ahadees ka sheewa ha jo ajkal ek new school of though paida ho raha ha

Name:  Types of shirk. what is shirk2.gif
Views: 2789
Size:  5.8 KB

jesy ab iss aeyat ki he translation ly layn apny isski translation yeh tu ki ha k jado ghar ka jado kisi ko nuksan nahi pohcha sakta magar agay yeh nahi perha magar allah he ws nuksan ka hukam dy dye....
yeh tu sb ka manana ha k iss duniya mein koi bhi ws waqt tk kuch nahi kr sakta jab tk k allah na chahay, chahay wo bura kam ho yan acha yahan tk k sheetan ko bhi allah ny he insanon ko wargalany ka ikhtiyar diya ha wo khud tu ek tinka torny k qabil bhi na tha.

or iss sy uper surat taha ki aeyat mein ...jado ghar kabhi apny maqsad mein kamyab nahi ho sakta han iss duniya mein koi bhi apny maqsad mein kamyab nahi ho sakta jab tk allah ka hukam na ho or Allah he apny bandon k liye kafi ha
faraz kero agr koi kisi ko qatal kerny ata ha tu kya wo allah k hukam k elawa kisi ko qatal kr sakta ha nahi kabhi nahi magar agar allah he chahta ho k wsny qatal hona ha iss terhan tu wo zaroor kamyab ho jye ga

apki sari book mein zabardsti aeyat ki translation ko apnay aqeeda ki taraf khanch khanch kr ly jaya gaya ha ek he bat ko 10 10 bar kaho yan so so bar, aram sy kaho yan chilla kr wo agar sahi nahi tu sahi nahi

quran ki aeyat ki apny andaz sy tashreeh kerny ki bajye yeh aeyat tu ghore sy perhain

Surat Al Baqra Aeyat no 102

"Or wo dono unko kuch nahi seekhtay thy jab tk keh yeh na keh dayn k ham "zeryah e azmaesh" hain tum koofar mein na pero' garz log insy aesa jado seekhty jis sy mian biwi mein judai dal dayn or Allah k hukam k siwa iss (jado) sy kisi ka kuch nahi bigar sakty thy or kuch aesy (mantar) seekhty jo inko nuqsan he pohchty or kuch faida nahi or jis cheez k eewaaz unhon ny apni jaanon ko baich dala wo buri thi. kash wo iss bat ko janty"

agar ap sachy dil sy kisi k specific believes ko side pr rakh kr iss aeyat ki translation with shan e nazool perh layn tu apko sari bat smjh aa jye gi apki sari baton ka jawab yeh aeyat deti ha

or doori bat yeh k agar ap itni sari sahi ahadees jo sahi muslim or sahi bukhari mein ha jin ki sanad bilkul sahi ha wsko galat keh rahy hain tu kis bina pr iss bina pr k wo quran k ap k ki hwi translation sy nahi milti ws sy takrati hain...
yani doosray alfaz mein ap un ahadees k ravi galat keh rahy hain unko jhoota bana rahy hain tu unhi raviyoun ny or bhi ahadees kahi hain tu ek jhooty ravi pr phir kaise aitabar kiya ja sakta ha iss ka matlab ap k nazdeeq baqi or bhi hundreds of ahadess galat hain...kyoun k un k ravi or in ahadees k ravi same hain

Last edited by usman_latif_ch; 25-10-2009 at 10:28 AM.
  Reply With Quote
Old 25-10-2009, 10:50 AM   #3
.BZU.
Default Re: Shirk ki Aqsaam (Quran o Hadees ki nazar mein). Types of Shirk according to quran and sahee hadit

Quote:
jesy ab iss aeyat ki he translation ly layn apny isski translation yeh tu ki ha k jado ghar ka jado kisi ko nuksan nahi pohcha sakta magar agay yeh nahi perha magar allah he ws nuksan ka hukam dy dye....
Quote:
yeh tu sb ka manana ha k iss duniya mein koi bhi ws waqt tk kuch nahi kr sakta jab tk k allah na chahay, chahay wo bura kam ho yan acha yahan tk k sheetan ko bhi allah ny he insanon ko wargalany ka ikhtiyar diya ha wo khud tu ek tinka torny k qabil bhi na tha.
Hmmm..
Phir tu is baat ko bhi maan lo na kay Tawwez jo marzi karna chahay kar sakta hay... Kiyon kay us main Allah paak ki marzi ho sakti hay... Quran paak bhi galay main lataka do wo bhi sab kuch kar sakta hay... Buton ki poja karna bhi start kar do. because us main bhi Allah ki marzi ho sakti hay.
Murda peer ki kabar par jao tu wo bhi jo kuch marzi kar sakta hay...

Sorah taha ayat 69. kay mutabiq....
Last week meri aik alaama sahab say baat ho rahi thei jo kay kehtay thay kay jado main asar hay..

Unhon nay tu na aozbillah Jadogar ko itni taqat day di thei..
Un kay mutabiq. Allah tala nay jadogar ko itni taqat day di thei kay us nay firoon kay darbar main lakri/ rasiyon main rooh phonk di thei. aur na aozillah us mai jaan daal di thei...
Mujhay yeh samjh nahi aa e kay jadogar nay aik bejaan cheez main Rooh phoonk kar Allah tala kay barabar makaam hasil kar lia. phir bhi ap kehtay ho kay wo kamiyab nahi huya tha... (Jab kay mere ilam kay mutabiq Insano main sirf Essa A.S ka mojza tha kay wo murda ko zinda kar detay thay. Ya sirf Rooh phonknay wali taqat sirf Allah kay pass hay)

Aap kay mutabiq tu jadogar har kuch kar sakta hay.. (means Allah nay jadogar ko har cheez karnay ki taqat di hay..) Jb Allah nay kaha hay kay ghayab ka ilam sirf main jata hon. tu aap ka yeh kehna . Allah aur rasool ki is baat ko khulam khula jhutla raha hay kay. Jadogar bhi apnay jado say Ghayab ki batain maloom kar leta hay...


---
Quote:
or doori bat yeh k agar ap itni sari sahi ahadees jo sahi muslim or sahi bukhari mein ha jin ki sanad bilkul sahi ha wsko galat keh rahy hain tu kis bina pr iss bina pr k wo quran k ap k ki hwi translation sy nahi milti ws sy takrati hain...
Itani saari ahadess jo kay quran paak ki nafi karti hain? zara mujhay bhi dikha ain na ..
yahan share karai na.... Quran paaki ki translation apnay apnay ghar main paray ho ay Quran majeed main daikh lo.. is main koi apki meri translation wali baat hei nahi hay...

Also
Give the answer of following...
Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU
  Reply With Quote
Old 25-10-2009, 11:00 AM   #4
usman_latif_ch
Default Re: Shirk ki Aqsaam (Quran o Hadees ki nazar mein). Types of Shirk according to quran and sahee hadit

Quote:
Originally Posted by .BZU. View Post
Hmmm..
Phir tu is baat ko bhi maan lo na kay Tawwez jo marzi karna chahay kar sakta hay... Kiyon kay us main Allah paak ki marzi ho sakti hay... Quran paak bhi galay main lataka do wo bhi sab kuch kar sakta hay... Buton ki poja karna bhi start kar do. because us main bhi Allah ki marzi ho sakti hay.
Murda peer ki kabar par jao tu wo bhi jo kuch marzi kar sakta hay...

Sorah taha ayat 69. kay mutabiq....
Last week meri aik alaama sahab say baat ho rahi thei jo kay kehtay thay kay jado main asar hay..

Unhon nay tu na aozbillah Jadogar ko itni taqat day di thei..
Un kay mutabiq. Allah tala nay jadogar ko itni taqat day di thei kay us nay firoon kay darbar main lakri/ rasiyon main rooh phonk di thei. aur na aozillah us mai jaan daal di thei...
Mujhay yeh samjh nahi aa e kay jadogar nay aik bejaan cheez main Rooh phoonk kar Allah tala kay barabar makaam hasil kar lia. phir bhi ap kehtay ho kay wo kamiyab nahi huya tha... (Jab kay mere ilam kay mutabiq Insano main sirf Essa A.S ka mojza tha kay wo murda ko zinda kar detay thay. Ya sirf Rooh phonknay wali taqat sirf Allah kay pass hay)

Aap kay mutabiq tu jadogar har kuch kar sakta hay.. (means Allah nay jadogar ko har cheez karnay ki taqat di hay..) Jb Allah nay kaha hay kay ghayab ka ilam sirf main jata hon. tu aap ka yeh kehna . Allah aur rasool ki is baat ko khulam khula jhutla raha hay kay. Jadogar bhi apnay jado say Ghayab ki batain maloom kar leta hay...


---

Itani saari ahadess jo kay quran paak ki nafi karti hain? zara mujhay bhi dikha ain na ..
yahan share karai na....

Also
Give the answer of following...
Jadoogar kay Jado main Asar ke Qaeleen say chand Sawalat. Question to follower of Jado's Effect. URDU
tu wo sari ahadees quran pak ki tasdeeq bhi kerti hain kya...?
quran pak mein tu un k bary mein koi tafseel he nahi ha or bohat si roz marah ki baton ki tashreeh tu ahadees sy milti hain jesy namaz or zakat wagara
but i am asking k agar wo ahadess galat hain tu zahir ha un k ravi galat ha tu ek galat ravi ko kaise ek hadees k liye sahi or doosri k liye galat kaha ja sakta ha jhooty ravi pr kaise aitabar kiya ja sakta ha

or apny mei uper aeyat ko nahi perha shaid ap kisi molvi ko chorain mein ny jo kaha ws pr bat karin kis ny kya kiya , kya nahi kiya mujhy nahi pata

Surat Al Baqra Aeyat no 102

"Or wo dono unko kuch nahi seekhtay thy jab tk keh yeh na keh dayn k ham "zeryah e azmaesh" hain tum koofar mein na pero' garz log insy aesa jado seekhty jis sy mian biwi mein judai dal dayn or Allah k hukam k siwa iss (jado) sy kisi ka kuch nahi bigar sakty thy or kuch aesy (mantar) seekhty jo inko nuqsan he pohchty or kuch faida nahi or jis cheez k eewaaz unhon ny apni jaanon ko baich dala wo buri thi. kash wo iss bat ko janty"
  Reply With Quote
Old 25-10-2009, 11:11 AM   #5
.BZU.
Default Re: Shirk ki Aqsaam (Quran o Hadees ki nazar mein). Types of Shirk according to quran and sahee hadit



To is say bhi yehi sabit hota hay na kay jado main koi asar nahi hay... chahay wo jo kuch bhi karain.
  Reply With Quote
Old 25-10-2009, 11:20 AM   #6
usman_latif_ch
Default Re: Shirk ki Aqsaam (Quran o Hadees ki nazar mein). Types of Shirk according to quran and sahee hadit

Quote:
Originally Posted by .BZU. View Post


To is say bhi yehi sabit hota hay na kay jado main koi asar nahi hay... chahay wo jo kuch bhi karain.
janab mein apki iss aeyat ki translation sy itfaq he tu kr raha hn jado ghar ka jado koi asar nahi kr sakta jab tk k allah ka hukam na ho mein ny jo aeyat ki translation ki ha tu yehi ha na yan kaho galat translation k ha?
  Reply With Quote
Old 25-10-2009, 11:23 AM   #7
.BZU.
Default Re: Shirk ki Aqsaam (Quran o Hadees ki nazar mein). Types of Shirk according to quran and sahee hadit

jee.

but waisay bhi agar ap kehtay ho kay jadogar kay jado main asar hay tu Aap ko 100 % in baton ka man na lazami ho giya hay,.

Quote:
Hmmm..
Quote:
Phir tu is baat ko bhi maan lo na kay Tawwez jo marzi karna chahay kar sakta hay... Kiyon kay us main Allah paak ki marzi ho sakti hay... Quran paak bhi galay main lataka do wo bhi sab kuch kar sakta hay... Buton ki poja karna bhi start kar do. because us main bhi Allah ki marzi ho sakti hay.
Murda peer ki kabar par jao tu wo bhi jo kuch marzi kar sakta hay...

Aap kay mutabiq tu jadogar har kuch kar sakta hay.. (means Allah nay jadogar ko har cheez karnay ki taqat di hay..) Jb Allah nay kaha hay kay ghayab ka ilam sirf main jata hon. tu aap ka yeh kehna . Allah aur rasool ki is baat ko khulam khula jhutla raha hay kay. Jadogar bhi apnay jado say Ghayab ki batain maloom kar leta hay...
  Reply With Quote
Old 25-10-2009, 11:30 AM   #8
usman_latif_ch
Default Re: Shirk ki Aqsaam (Quran o Hadees ki nazar mein). Types of Shirk according to quran and sahee hadit

Quote:
Originally Posted by .BZU. View Post
jee. but agar kehtay ho kay jadogar kay jado main asar hay tu Aap ko 100 % in baton ka man na lazami ho giya hay,.
mein ny kuch kaha in baton k bare k mein jitna keh raha hn ap utna he meri taraf mansoob karin na k apni taraf sy kuch jab mein in baton k bare mein apny views donga k inko kaise manta hn tab bat karna abhi sirf yehi...ok
  Reply With Quote
Old 25-10-2009, 11:41 AM   #9
.BZU.
Default Re: Shirk ki Aqsaam (Quran o Hadees ki nazar mein). Types of Shirk according to quran and sahee hadit

Quote:
Originally Posted by usman_latif_ch View Post
mein ny kuch kaha in baton k bare k mein jitna keh raha hn ap utna he meri taraf mansoob karin na k apni taraf sy kuch jab mein in baton k bare mein apny views donga k inko kaise manta hn tab bat karna abhi sirf yehi...ok



Ap bhi tu mujhay Behis ka shikar bana rahay hay kay .. jo marzi aa ay translate kar dia hay main nay...

aap nay tarjama aisa hei kia.. bilkul jaisay kay in molana sahab nay kia....

Acha abh khud soochoo....
let me explain..:

Name:  Allah-nay-farishton-par-naz.gif
Views: 13126
Size:  9.8 KB

Usi ooper wali ayat main daikho... aap kehtay ho kay main nay apni marzi ka translation kia hay....

But apnay in allama ka Freeb daikh lo...

Jinho nay aik hei ayat main aik hei lafaz kay 2 meaning nikalay hain....
Oper tu likh dia kay Wama,. means Aur Nahi...
But Usi ayat kay anadr aglay line main likh dia kay,

Wama means Pechay lag gay us ilam kay...


Yahan par kiyon nahi kaha kay?

Nahi nazil kia giya 2 farishton haroot maroot par?


aur phir nechay ja kar dobar yehi keh diya ...

Wama means nahi ...

main nay highlight kia hay parh lain translate meri marzi ka bhi aur apni marzi ka bhi...

================
  Reply With Quote
Old 25-10-2009, 11:47 AM   #10
usman_latif_ch
Default Re: Shirk ki Aqsaam (Quran o Hadees ki nazar mein). Types of Shirk according to quran and sahee hadit

kaha na wsko choro jo mein ny likha ha issko perho or bataow kya galti ha

Surat Al Baqra Aeyat no 102

"Or wo dono unko kuch nahi seekhtay thy jab tk keh yeh na keh dayn k ham "zeryah e azmaesh" hain tum koofar mein na pero' garz log insy aesa jado seekhty jis sy mian biwi mein judai dal dayn or Allah k hukam k siwa iss (jado) sy kisi ka kuch nahi bigar sakty thy or kuch aesy (mantar) seekhty jo inko nuqsan he pohchty or kuch faida nahi or jis cheez k eewaaz unhon ny apni jaanon ko baich dala wo buri thi. kash wo iss bat ko janty"
  Reply With Quote
Reply

Tags
aqsaam, hadees, hadit, mein, nazar, quran, sahee, shirk, types

Thread Tools Search this Thread
Search this Thread:

Advanced Search
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

 
 

Best view in Firefox
Almuslimeen.info | BZU Multan | Dedicated server hosting
Note: All trademarks and copyrights held by respective owners. We will take action against any copyright violation if it is proved to us.

All times are GMT +5. The time now is 07:33 PM.


Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.