View Single Post
Old 25-10-2009, 09:47 AM   #2
usman_latif_ch
Default Re: Shirk ki Aqsaam (Quran o Hadees ki nazar mein). Types of Shirk according to quran and sahee hadit

apki di hwi book perhnay k bad bhi mujhay abhi tk apkay iss 3rd point sy itfaq nahi ha...
apny sari aeyat tu quran sy quote ki hain or kuch hawaly bida'tiyon k bhi diye hain masaallah sy magr apki sari aeyat ki tashreeh apny andaz sy ki ha apna mantaqi falsafa sunaya ha jab k quran pak mein jo ap kehty ho wazeh tore pr kahin nahi likha or quran ki aeyat ka apny andaz sy falsafa suna kr sahi ahadees ka inkar munkar e ahadees ka sheewa ha jo ajkal ek new school of though paida ho raha ha

Name:  Types of shirk. what is shirk2.gif
Views: 2792
Size:  5.8 KB

jesy ab iss aeyat ki he translation ly layn apny isski translation yeh tu ki ha k jado ghar ka jado kisi ko nuksan nahi pohcha sakta magar agay yeh nahi perha magar allah he ws nuksan ka hukam dy dye....
yeh tu sb ka manana ha k iss duniya mein koi bhi ws waqt tk kuch nahi kr sakta jab tk k allah na chahay, chahay wo bura kam ho yan acha yahan tk k sheetan ko bhi allah ny he insanon ko wargalany ka ikhtiyar diya ha wo khud tu ek tinka torny k qabil bhi na tha.

or iss sy uper surat taha ki aeyat mein ...jado ghar kabhi apny maqsad mein kamyab nahi ho sakta han iss duniya mein koi bhi apny maqsad mein kamyab nahi ho sakta jab tk allah ka hukam na ho or Allah he apny bandon k liye kafi ha
faraz kero agr koi kisi ko qatal kerny ata ha tu kya wo allah k hukam k elawa kisi ko qatal kr sakta ha nahi kabhi nahi magar agar allah he chahta ho k wsny qatal hona ha iss terhan tu wo zaroor kamyab ho jye ga

apki sari book mein zabardsti aeyat ki translation ko apnay aqeeda ki taraf khanch khanch kr ly jaya gaya ha ek he bat ko 10 10 bar kaho yan so so bar, aram sy kaho yan chilla kr wo agar sahi nahi tu sahi nahi

quran ki aeyat ki apny andaz sy tashreeh kerny ki bajye yeh aeyat tu ghore sy perhain

Surat Al Baqra Aeyat no 102

"Or wo dono unko kuch nahi seekhtay thy jab tk keh yeh na keh dayn k ham "zeryah e azmaesh" hain tum koofar mein na pero' garz log insy aesa jado seekhty jis sy mian biwi mein judai dal dayn or Allah k hukam k siwa iss (jado) sy kisi ka kuch nahi bigar sakty thy or kuch aesy (mantar) seekhty jo inko nuqsan he pohchty or kuch faida nahi or jis cheez k eewaaz unhon ny apni jaanon ko baich dala wo buri thi. kash wo iss bat ko janty"

agar ap sachy dil sy kisi k specific believes ko side pr rakh kr iss aeyat ki translation with shan e nazool perh layn tu apko sari bat smjh aa jye gi apki sari baton ka jawab yeh aeyat deti ha

or doori bat yeh k agar ap itni sari sahi ahadees jo sahi muslim or sahi bukhari mein ha jin ki sanad bilkul sahi ha wsko galat keh rahy hain tu kis bina pr iss bina pr k wo quran k ap k ki hwi translation sy nahi milti ws sy takrati hain...
yani doosray alfaz mein ap un ahadees k ravi galat keh rahy hain unko jhoota bana rahy hain tu unhi raviyoun ny or bhi ahadees kahi hain tu ek jhooty ravi pr phir kaise aitabar kiya ja sakta ha iss ka matlab ap k nazdeeq baqi or bhi hundreds of ahadess galat hain...kyoun k un k ravi or in ahadees k ravi same hain

Last edited by usman_latif_ch; 25-10-2009 at 10:28 AM.
  Reply With Quote