BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

Go Back   HOME > Welcome to all the Students > Islam > Online Islamic Books
Online Islamic Books Download and Read online Islamic books



Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 2 votes, 5.00 average. Display Modes
Old 08-11-2009, 02:16 PM   #1
.BZU.
Islamic Sehar Jadoo Main Asar Manna Kufar Aur Shirk He . Written by Dr Basheer Ahmed

Attached Files
File Type: pdf Sehar_Jadoo_main_asar_manna_Kufar_aur_shirk_he.pdf (797.0 KB, 431 views)
  Reply With Quote
Old 08-11-2009, 04:14 PM   #2
usman_latif_ch
Default Re: Sehar Jadoo Main Asar Manna Kufar Aur Shirk He . Written by Dr Basheer Ahmed



Last edited by .BZU.; 08-11-2009 at 10:16 PM. Reason: Please reply instead of adding extra content in your post. it effect on my reply.
  Reply With Quote
Old 08-11-2009, 07:11 PM   #3
.BZU.
Default Re: Sehar Jadoo Main Asar Manna Kufar Aur Shirk He . Written by Dr Basheer Ahmed

Quote:
Originally Posted by usman_latif_ch View Post


.................................................. ....
Tu amliyaat wagheera (Jadogar kay kufria kalemat ) say tu kuch bhi nahi ho sakta tha na meray bhai jaan.
jado say kuch nahi hota.. kuch bhi nafa nuqsan nahi hota,,

Jis baat ka Allah hukum day ga us say hei sab kuch ho ga... Kafir mushrik jadogar kay pass itni takat nahi hay kay wo

Antar mantar parh kar Allah ka qanoon Apni muthi main lay kar jo marzi karta phiray...

Main nay suna tha neek kam karnay walon ki Allah sunta hay..

But yahan tu aap is ayat ka matlab to yeh keh rahay ho kay, Jo shakas Antar mantar parh kar jo kuch bhi karay Allah tala us antar mantar ki waja say . apna hukum change kar kay jadogar ki dili khawhish ko importance day deta hay..


First read above book. instead of copying and pasting. last part of albaqrah 102.

  Reply With Quote
Old 08-11-2009, 10:36 PM   #4
usman_latif_ch
Default Re: Sehar Jadoo Main Asar Manna Kufar Aur Shirk He . Written by Dr Basheer Ahmed


Koi bhi shaks kuch nahi kr sakta kisi insan ko kya ek makhi ka par bhi nahi tore sakta
Laqin sirf Allah chahy tu kisi ka bhi nuqsan kr sakta ha kisi bhi zaryeh sy or yeh sirf Allah logon ki azmaesh k liye kerta ha
Allah kafir/mushrik ki bhi sunta ha or muslim ki bhi
Allah kafir/mushrik ko bhi atta kerta ha or muslim ko bhi
jesy Allah booton ko mannay walon ko attaa kerta ha booton k zaryeh jabkeh kafir or mushrik ka akhrat mein koi hissa nahi hoga unka thikana jahanum ha

Last edited by usman_latif_ch; 08-11-2009 at 11:11 PM.
  Reply With Quote
Old 08-11-2009, 10:57 PM   #5
.BZU.
Default Re: Sehar Jadoo Main Asar Manna Kufar Aur Shirk He . Written by Dr Basheer Ahmed

Quote:
Originally Posted by usman_latif_ch View Post

Koi bhi shaks kuch nahi kr sakta kisi insan ko kya ek makhi ka par bhi nahi tore sakta
Laqin Allah chahy tu kisi ka bhi nuqsan kr sakta ha kisi bhi zaryeh sy or yeh sirf Allah logon ki azmaesh k liye kerta ha
Allah kafir/mushrik ki bhi sunta ha or muslim ki bhi
Allah kafir/mushrik ko bhi atta kerta ha or muslim ko bhi
jesy Allah booton ko mannay walon ko attaa kerta ha booton k zaryeh jabkeh kafir or mushrik ka akhrat mein koi hissa nahi hoga unka thikana jahanum ha
Uf Allah; abh Allah ka shareek yahan tak aap nay bana lia kay Allah Button kay zariye deta hay,Jabkay Allah tala nay kaha hay kay main khud deta hon. Butt jin say wo mangaty hain, jin ko wo pukaratay hain, wo tu nafa aur nuqsaan pohuncha hei nahi saktay ..

, Sirf isliaye kay aap jado kay asar ko mann kar Muhammad SAW par jado ka asar sabit karna chah rahay ho..Aap SAW ko Jado zada majnoon kehnay ki koshish kar rahay ho, kay App SAW par kuch arsa tak jado ka asar raah aur aap naoazbillah Majnon ho gay,aur unhain kisi bhi cheez ka pata bhi nahi chlata tha..(ilzamat ki bhi had hoti hay)




Kufaar nay button ka zariya banaya.
Mushrik Tawwez ko zariya banatay hain.
Kaali kamlee walon ki zariya banaya
Murada zinda peeron ko zariya banaya.
Aur aaj kal kay Muslaan Jadoo ko zariya banatay hain.

Afsossss

  Reply With Quote
Old 09-11-2009, 10:35 AM   #6
usman_latif_ch
Default Re: Sehar Jadoo Main Asar Manna Kufar Aur Shirk He . Written by Dr Basheer Ahmed

Quote:
Kufaar nay button ka zariya banaya.
Mushrik Tawwez ko zariya banatay hain.
Kaali kamlee walon ki zariya banaya
Murada zinda peeron ko zariya banaya.
Aur aaj kal kay Muslaan Jadoo ko zariya banatay hain.

Ajkal kya yeh tu hundreds of years balkeh islam k anay sy bhi pehlay sy silsila chala aa raha ha k jado ghar muslim ho yan kafir shirk kerta ha Allah k sath yeh keh k mein kuch kerny ka ikhteyar rakhta hn
issi terhan booton k pojnay waly or taweiz sy madad leny waly bhi jabkeh yeh sb cheezain insan kya ek makhi ko bhi nafa yan nuksan nahi pohcha saktein magar allah he ha jo kisi k nuqsan yan faiday ka hukam dy dye

  Reply With Quote
Old 09-11-2009, 04:33 PM   #7
.BZU.
Default Re: Sehar Jadoo Main Asar Manna Kufar Aur Shirk He . Written by Dr Basheer Ahmed

Quote:
Originally Posted by usman_latif_ch View Post

Ajkal kya yeh tu hundreds of years balkeh islam k anay sy bhi pehlay sy silsila chala aa raha ha k jado ghar muslim ho yan kafir shirk kerta ha Allah k sath yeh keh k mein kuch kerny ka ikhteyar rakhta hn
issi terhan booton k pojnay waly or taweiz sy madad leny waly bhi jabkeh yeh sb cheezain insan kya ek makhi ko bhi nafa yan nuksan nahi pohcha saktein magar allah he ha jo kisi k nuqsan yan faiday ka hukam dy dye



Hmmm...Aik tu yeh molana sahab yeh keh rahay hain
Surah baqra ki ayat 102 main yeh keh rahay hay kay frishtoon nay kufar nahi kia. sheetano nay kufar kia jo kay logon ko jado sikhatay thay..

Then agay ye kiyon kaha ja raha he kay Frishtay logon ko jado sikhaya kartay thay. means frishton nay jado sikhanay ka kufuar kia.?
Halankay Pori islamic history chaan li ja ay tu . Yeh baat saaf saaf zahir ho jati hay kay frishtay nabiyon kay pass Allah ka peghame haq lay kar aatay hain . na kay Mushrakeen kay pass aa kar. Un ko Nabiyon kay khilaf kartay hain...

Nabi SAW par jadoo ka asar man lena.. means . Aap SAW jado zada ho gay thay. jaisa kay Maka kay mushrkeen kehtay thay...
Jab.
Khulfa Rashedeen nay Jadogaron ko zinda dafan karnay ka hukam diya (Because kay wo logon ka eman kharab kartay thay)
tu tab wahan un jadogaron ka jado kahan giya tha..
tab bhi jadogar apnay jado kay asar say apnay aap ko bacha saktay thay na.

ya phir yeh man na paray ga kay jadogaron kay jado ka koi asar nahi hota hay. Balkay Allah tala jo marzi karay wohi hota hay...Allah tala ko apnay kaam karnay main kisi jadogar kay jantar mantar parhwanay ki zarorat nahi hoti hay. jo bhi hot ahay Allah apni traf say hei karta hay. Jadogar ki majal nahi kay wo Allah ko apna kaam karnay par majboor karday.. Jaisa kay is ayat main aap baar baar quote kar rahay hain.



sirf jado main asar sabit karnay kay li ay...

Jadogar kia. Muhammad kareem SAW bhi apnay nafa nuksaan ka kuch ekhtiyar nahi rakhtay thay. jaisa kay surah Jin 19 to 23 main... tu jadogar (aik kafir insan) kaisay kisi kay oper jado kar kay nuksan pohuncha sakta hay?aur wo bhi Muhammad Kareem SAW ko takleef... Jin kay li ay Allah nay yeh kaha hay kay.
see here:


Even kay... Surah baqrah ki ayat 102 main saaf saaf likha hay kay saleman A.S kay zamnay main sheetan loog jo kay jadoo kay kalemaat sikha kartay thay. un kay wo kalemaat un ko koi nafa nahi dete thay..wahan jo kuch bhi hota tha jadoo kay kalemat say nahi balkay Allah kay hukum say hota tha. tu phir yeh kaisay mana ja sakta hay kay nabi SAW par naozbillah Jado ka asar ho giya tha aur aap jado say bimar ho gay thay ?

piyary nabi SAW par koi jado ka asar nahi huya. balkay yeh kay. Jo bhi takleef App SAW par aa e wo tu Allah tala ki traf say hei thei. kisi jadogar kay jantar mantar ki traf say nahi...
  Reply With Quote
Old 09-11-2009, 10:27 PM   #8
usman_latif_ch
Default Re: Sehar Jadoo Main Asar Manna Kufar Aur Shirk He . Written by Dr Basheer Ahmed



---------- Post added at 10:20 PM ---------- Previous post was at 10:20 PM ----------

Quote:
Even kay... Surah baqrah ki ayat 102 main saaf saaf likha hay kay saleman A.S kay zamnay main sheetan loog jo kay jadoo kay kalemaat sikha kartay thay. un kay wo kalemaat un ko koi nafa nahi dete thay..wahan jo kuch bhi hota tha jadoo kay kalemat say nahi balkay Allah kay hukum say hota tha
Beshak jo kuch hota ha Allah k hukam sy he hota ha

---------- Post added at 10:25 PM ---------- Previous post was at 10:20 PM ----------

Quote:
Surah baqra ki ayat 102 main yeh keh rahay hay kay frishtoon nay kufar nahi kia. sheetano nay kufar kia jo kay logon ko jado sikhatay thay..

Then agay ye kiyon kaha ja raha he kay Frishtay logon ko jado sikhaya kartay thay. means frishton nay jado sikhanay ka kufuar kia.?
Surat Al Baqra Aeyat no 102

"Or wo dono unko kuch nahi seekhtay thy jab tk keh yeh na keh dayn k ham "zeryah e azmaesh" hain tum koofar mein na pero' garz log insy aesa jado seekhty jis sy mian biwi mein judai dal dayn or Allah k hukam k siwa iss (jado) sy kisi ka kuch nahi bigar sakty thy or kuch aesy (mantar) seekhty jo inko nuqsan he pohchty or kuch faida nahi or jis cheez k eewaaz unhon ny apni jaanon ko baich dala wo buri thi. kash wo iss bat ko janty

---------- Post added at 10:27 PM ---------- Previous post was at 10:25 PM ----------

Kya sheetan yeh kehty thay k hm zarya e azmayesh hain ham sy jado na sikho?

or kya sheetan do(TWO) thay...?
  Reply With Quote
Old 09-11-2009, 10:48 PM   #9
.BZU.
Default Re: Sehar Jadoo Main Asar Manna Kufar Aur Shirk He . Written by Dr Basheer Ahmed

Quote:
Originally Posted by usman_latif_ch View Post

---------- Post added at 10:20 PM ---------- Previous post was at 10:20 PM ----------

Beshak jo kuch hota ha Allah k hukam sy he hota ha

tu is ayat say yeh Sabit na karain kay, jado kay kuria kalemat say kuch ho jata tha... Please


Quote:
Originally Posted by usman_latif_ch View Post



---------- Post added at 10:25 PM ---------- Previous post was at 10:20 PM ----------

Surat Al Baqra Aeyat no 102

"Or wo dono unko kuch nahi seekhtay thy jab tk keh yeh na keh dayn k ham "zeryah e azmaesh" hain tum koofar mein na pero' garz log insy aesa jado seekhty jis sy mian biwi mein judai dal dayn or Allah k hukam k siwa iss (jado) sy kisi ka kuch nahi bigar sakty thy or kuch aesy (mantar) seekhty jo inko nuqsan he pohchty or kuch faida nahi or jis cheez k eewaaz unhon ny apni jaanon ko baich dala wo buri thi. kash wo iss bat ko janty

---------- Post added at 10:27 PM ---------- Previous post was at 10:25 PM ----------

Kya sheetan yeh kehty thay k hm zarya e azmayesh hain ham sy jado na sikho?

or kya sheetan do(TWO) thay...?


Jee haan sheetan thay...
Agar wo farishtay hotay tu. frishton nay kufar kia hay...

But Allah tala nay isi hei ayat main pechay tasdeeq ki hay (aap us ka translate bhi highlight kare kay paste karnay na . Please) Na hei Saleman A.S nay kufar ki hay. aur na hei Frishton nay kufar kia hay.

Jabkay sheetano nay kufar kiya hay...

Kia yeh Allah nay nahi kaha?

Agar nahi kaha tu phir aap yeh baat man lo kay Frishtay jadoo sikhatay thay.aur frishton ki jo shaan Allah nay biyan ki hay ,wo sab jhooti shaan hay.frishtay Nabiyon kay pass Allah ka pigham e haq lay kar nahi atay. balkay logon kay pass atay hain aur Unhain Allah kay nabiyon kay Khilaaf kaam karnay ko kehtay hain..
aur Jado ka kalam Allah nay utara hay.


aur agar Allah nay yeh kaha hay sleman A.S and frishton nay kufar nahi kia: tu har muslmaan ko yeh baat manna lazim hay kay sheetan jadoo seekhatay thay,

jaisa kay 2 wali baat hay .
wo isiliye likha giya hay kay kisi 2 frishton per jado nazil nahi kia giya.

Waisay Main nay aap ko aik aur book parhnay kay li ay kaha tha. (jis ka aap nay reply diya kay is trah ki main nay hazaron books parh rakhi hay). us main sab kuch explain kia giya hay. aur wo book surah baqrah ki isi ayat ki base par likhi hoi hay...
  Reply With Quote
Old 09-11-2009, 11:08 PM   #10
usman_latif_ch
Default Re: Sehar Jadoo Main Asar Manna Kufar Aur Shirk He . Written by Dr Basheer Ahmed

Quote:
Surat Al Baqra Aeyat no 102

"Or wo dono unko kuch nahi seekhtay thy jab tk keh yeh na keh dayn k ham "zeryah e azmaesh" hain tum koofar mein na pero' garz log insy aesa jado seekhty jis sy mian biwi mein judai dal dayn or Allah k hukam k siwa iss (jado) sy kisi ka kuch nahi bigar sakty thy or kuch aesy (mantar) seekhty jo inko nuqsan he pohchty or kuch faida nahi or jis cheez k eewaaz unhon ny apni jaanon ko baich dala wo buri thi. kash wo iss bat ko janty
yani ap k kehnay ka matlab ha wahan two sheetan thy jo aesa kerty thy or logon sy kehty thy k ham Allah ki taraf sy zaryah e azmaesh hain...is it?

laqin mujhy tu iss aeyat ki yeh smjh ai ha k Allah ny suleman (A.S) ko jinaat, hawaon or sb janwaron ki boliyan seekhai thein or un par hukamrani di thi tu log smjhty thy k yeh jado ghar hain jab keh yeh tu Allah ki taraf tha, tu Allah ny kaha k suleman (A.S) ny koofar nahi kiya na he farishton ny jab keh wo tu sirf logon k liye zaryah e azmayeh thy
log in sy pehlay sheetanon sy jado seekhty thy tu Allah ny kaha ha frishton ny koofar nahi kiya balkeh sheetanon ny kiya jab k wo fraishty tu logon k liye zaryeh azmaesh k liye thy

Last edited by usman_latif_ch; 09-11-2009 at 11:21 PM.
  Reply With Quote
Reply

Tags
ahmed, asar, aur, basheer, jadoo, kufar, main, manna, sehar, shirk, written


 
 

Best view in Firefox
Almuslimeen.info | BZU Multan | Dedicated server hosting
Note: All trademarks and copyrights held by respective owners. We will take action against any copyright violation if it is proved to us.

All times are GMT +5. The time now is 10:47 AM.


Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.