BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

Go Back   HOME > Welcome to all the Students > Islam > Online Islamic Books
Online Islamic Books Download and Read online Islamic books



Reply
 
Thread Tools Rating: Thread Rating: 6 votes, 3.17 average. Display Modes
Old 02-11-2009, 05:01 PM   #1
Nadeem Iqbal
Islamic Gant ki teyari

This book is Published by "Dawateislami" Plz Read it.

Plz Plz Pray for me.


If u find it best. then Dont forget to say me Thanks.

By

Nadeem iqbal

Last edited by .BZU.; 02-11-2009 at 08:17 PM. Reason: Attachment is removed to stop shirk and Bidah
  Reply With Quote
Old 02-11-2009, 09:46 PM   #2
.BZU.
Thumb Down Re: Gant ki teyari

salam..
Ihave read this book...

Masha Allah . Writer nay janat ki khobiyan tu khoob batai hain.
But unhon nay is book main jo tareeqa Allah ki (Musalmaano kay li ay banai gai) janat ko hasil karnay ka likha hay . wo aik dam theek nahi likha hay...

Dosari bat i was confused kay yeh poetry ki book hay, kia hay... and kia Allah kay piyray rasool nay Janat hasil karnay kay li ay poetry parhnay ko kaha tha (jaisa kay is Book , jis ka unwan janat ki tiyari hay say lag raha tha)

Kia Allah Tabrak Watala ka Shareek Thehranay say janat ki tiyari hoti hay? jaisa kay is book main batain ki gai hain...
let me share some poetry/words that i have copied from this book...


See what is written in this book, about App SAW say karam rakhnay ki ummed ...

Name:  kia shirk say janat milay gi.JPG
Views: 13545
Size:  42.2 KB
Name:  App SAW say karam karwanay ki ummed rakhnay say janat kaisay milay gi.JPG
Views: 3365
Size:  48.4 KB

Is main Surah Al imran ki ayat 31 qoute ki gai hay. Jis kay yeh matalb nahi banta . Kay App Na aozbillah Muhammad Rasool Ullah SAW say hei Madad mangna shuru kar do..
Name:  shirk1.JPG
Views: 3255
Size:  63.5 KB

---------
Name:  yeh konsi hadees main hai.JPG
Views: 2764
Size:  22.9 KB

Yeh konsi hadees main hay kay yeh sab kaam karna sunat hain? koi hadees tu honi chahi ay na is baray main , ya quran majeed main kuch ayat nazil honi chahay thei kay Musalmaan ka Huliya youn hona chahi ay ...

Islam main apni taraf say cheezain shamil karna Bidat hay. Aur Nabi kareem SAW say farmaya kay bidat say bacho , tu janat milay gi. Bidat karnay say nahi...

Name:  Lol fikre madeena aur madni qafilla.JPG
Views: 3982
Size:  55.2 KB

Yeh madani qafilay ko kia ho giya hay. Pakistan ki galiyon main bhatak raha hay ...
Yeh konsi hadees qoute ki hay, jis ka koi reference hei nahiOh yeh khawab main deikhai deni wali hadees hay.. means kay hadees kay new rawi aa gay hain... jin kay mutabiq App SAW ka deen complete nahi huya tha, Aur deen ko complete karnay kay li ay App SAW ko khawab main ana para. aur in alam sahab kay khawab daikhnay say pehlay waly saray muslano ka pata nahi kia hoga. wo tu is baat kay mutabiq madani qafalay main nahi shamil ho sakay.

Kuch Uncle Attar kay baray main bhi...jo kay is book kay different pages say quote ki gai hain...
Name:  uncle Attar.JPG
Views: 2681
Size:  38.2 KB

Lets start from 1st stanza from above attachment...
Stanza1:;Uncle Attar nay apni saari neekiyan tu 12 madani qafalay ko baant di. uff..

Tu jis kay paas apni koi neekiyan hei nahi hain. tu wo agay kaisay Allah paak kay karam say ja raha ho ga bina neekiyon kay? kia neek loog aur Allah ka shareek thehranay walay barabar hain?

Uncle Attar tu Nabi Kareem SAW aur Sideeq e akbar say rehmat ki talab kar rahay hain. Allah say koon rehmat mangta hay... (Uff qiyamt kay din Nabi kareem SAW janat dozakh ka faisala karain gay . Astaghfirullah. itna bara Allah ka shareek)

Ya mustafa karam abh nahi kar saktay.wo abh wafat pa chukay hain...

----------

Is book main mujhay aik hadees-e-pak bhi qoute ki hoi mili..
Name:  jab kisi say kuch na mangana.JPG
Views: 26255
Size:  40.3 KB

Saaf saaf likha hay kay Kisi say kuch nahi mangana chahiay , Phir bhi Nabi kareem SAW aur Allah ki baat ko Jhutla kar nabi kareem SAW say mangna Ya rasool ullah madad kehnay say humain janat mil ja ay gi?

jab kay quran nay bhi saaf saaf elaan kar diya..
Read Surah araf ayat 188




Surah Jin Ayat 18,19, 20, 21,22,23...



Saaf saaf likha hay; kay Allah Paak nay Nabi Kareem SAW say yeh kaha hay kay . "In logon say keh dijiay gay kay sach tu yeh kay main khud Muhammad SAW bhi kisi say bhalai aur nuqsaan ka koi ikhtiyar nahi rakhata..." agali ayat main hay kay mujhay Allah ki garift say bhi koi nahi bacha sakta ....


Aur yeh Allah kay rasool ki baat hay jo kay ayat 21,22 main hay

Aur phir 23 main likha hay. kay jo Allah aur us kay rasool ki baat ki nafarmani karay ga. yeh kahay ga kay (Muhammad karam kijiay wagheera wagheera) yaqeenan hay us kay li ay Jahanam ki aag, raheen gay aisay loog us main hameesha hameesha...

Now tell kay wo book theek hay? ya Allah ka quran aur hadees?

For more Please read quran kareem... Kalama (Allaha ka shreek thehraye bagheer)Namaz,Rooza, rakqt, haj ... islam kay rukun poray karo tu zaror janat milay gi . na kay madani qafalay kay saath loogon ko Yaa rasool kehnay ki taleem denay say
  Reply With Quote
Old 21-01-2010, 05:26 PM   #3
.BZU.
Default Re: Gant ki teyari

http://www.quranweb.org/urdu/Q072/72-1.gif



Some one said, yeh tu Ayat 18 to 23 ka word by word translation hay,let me share line by line translation of surah jin..

Name:  72-1.gif
Views: 8566
Size:  15.6 KB

  Reply With Quote
Reply

Tags
dawateislami, gant, islam, teyari

Thread Tools Search this Thread
Search this Thread:

Advanced Search
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

 
 

Best view in Firefox
Almuslimeen.info | BZU Multan | Dedicated server hosting
Note: All trademarks and copyrights held by respective owners. We will take action against any copyright violation if it is proved to us.

All times are GMT +5. The time now is 08:03 PM.


Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.