Ye Kaisa Sard Hawa Ka Jhonka Tha ( Nasri Poem )
Ye Kaisa Sard Hawa Ka Jhonka Tha
Jo Yahin, Mere Paas Hi
Seelan Si Bhar Gaya Hai
-------------
Bahar Lawn Mein ,
Oas Mein Beeghi Raat Ki Rani
Bujhi Bujhi Si Aankhon Se
Jane Kya Dekh Rahi Hai ?
Be-Noor Si Roshni Mein Kaan'pti
Uski Parchhaiye'n
Shayed Kuch Kehna Chahti Hai ...
-------------
Abhi Kuch Hi Dino'n Ki Baat Hai
Hawa Sar'Goshian Karti Thi
Is Chhat Ke Neechay
Barishen Aawaz Chhor Jati Thi'n
Khir'kiyon Ke Sheesho'n Per
Khawab, Aankhon Mein Yun
Urra'nen Bharte Thay
Jaise kisi Khamosh Sahil Se
Kuch Prinday Jhoomte Gaate Guzren
-------------
Ye Kaisa Sard Hawa Ka Jhonka Tha ?
Jo Raat Ke Is Pehar
Uddas Kar Ke Chhor Gaya Hai
Aankh Kuch Hi Der Ko Lagi Thi Shayed
Soye Se Lamho'n Mein
Shayed Kuch Hi Der
Wo Sab ....
Bhoola Hoon'ga ...
Ye Kaisa Sard Hawa Ka Jhonka Tha ?
Jo Phir Se Jag'ne Ke Liye Chhor Gaya Hai