|
Islam Full of Islamic Stuff |
| Thread Tools | Rating: | Display Modes |
22-09-2011, 07:32 PM | #1 |
Jab koi mar jata hay tu bohat sare log Esal-e-Sawaab karty hain ““ÈöÓã Çﷲ ÇáÑÍãٰä ÇáÑÍíã““ jab koi mar jata hay tu bohat sare log uski wafaat pe ate hain. har koi ro raha hota hay. is murday k lye esal-e-sawab ka kam shuru hota hay yani k amal apka or sawab us murday ka matlab ye k Quran us k gher wale, rishtedar, mohalay waleyneighbours partay hain or sawab us murday ko bhegtay hain. jab k Muhammed ne fermaya “jab insan merta hay tu iska amal munkata hojata hay mager 3 kisam ka amal baqi rehta hay: sadqa-e-jaria, ilm jis se faida uthaya jata rahe or naik olaad jo is k lye duwa kre.” muslim, jild 4, kitab-ul-wasaya abu daood, jild 3, baab al-wasaya nisai, jild 2, kitab-ul-wasaya
“or jis ne koi naik kaam kya tu apne lye or jis ne bura kya tu wo b isi per, or tumhara rab bando per zulm nahi kerta” sura ha’meem sajda, ayt 46 sura al-jaseya, ayt 15 “beshak tumko inhi aamal ki jaza melay gi jo tumne kye” sura altoor, ayt 16 “hamare lye hamare aamaal or tumhare lye tumhare aamaal” sura al-bakra, ayt 139 sura al-kassas, ayt 55 sura ashora, ayt 15 “is din her shaksh apne kye hue achay or bure aamaal apne samne payega” sura al.imraan, ayt 30 “ager tumne koi neki ki tu apne lye or burai ki tu apne lye” bani israeel, ayt 7 Mazeed ayaat ; sura al-bakra, ayat 134, 141, 286, 272, 281 sura al-imran, ayt 25 sura al-nisa, ayt 32 sura al-inaam, ayt 125 sura al-anfaal, ayt 60 sura younus, ayat 30, 41 sura al-nehel, ayt 111 al ankaboot, ayt 6 sura al-rom, ayt 44 sura luqmaan, ayt 12 sura al-fatir, ayt 18 sura yaseen, ayt 54 sura walasaft, ayt 39 sura al-zumer, ayt 70 sura al-momin, ayt 17 sura al-hakaaf, ayt 19 sura al-najam, 38 se 41 sura al-zalzaal, ayat 6-7-8 itni saari ayaat hain jin mein saf likha hay k ager tumne neki ki tu apne lye ager bura kaam kya tu wo b apney lye. Quran mein saf alfazo mein likha hay k tumhara kya huwa tumhare samne ayega, dosre ka kya huwa usi k samne ayega. Quran apni baat apni ayto mein tarah tarah se beyaan kerta hay. Muhammed k beto ki wafaat hui, kitne sahaba shaheed hue per kisi ne b esal-e-sawaab ka koi amal nahi kya. Esal-e-sawab biddat hay or iska islam se koi taluuk nahi hay. AYAAT or Ahadees ap k samne hain. in sab se aik baat saaf zahir hay k “ya tu Qurani ayaat sachi hen ya tu esal-esawab kerne walay theek hain. fesla apka…………………… Shukrya Sadqa-e-jaria (ap isko agay forward krsktey hain) | |
23-11-2011, 07:12 AM | #2 |
Re: Jab koi mar jata hay tu bohat sare log Esal-e-Sawaab karty hain Murdoon kay liye Quran Khani Karna kaisa hay | |
Tags |
bohat, esalesawaab, hain, hay, jab, jata, karty, koi, log, mar, sare |
Thread Tools | Search this Thread |
Display Modes | Rate This Thread |
|