BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

Go Back   HOME > Welcome to all the Students > Islam
Islam Full of Islamic Stuff



Reply
 
Thread Tools Rate Thread Display Modes
Old 22-09-2011, 07:41 PM   #1
thecool
Cool Benifits from Graves; Qabron se Faiz

““ÈöÓã Çﷲ ÇáÑÍãٰä ÇáÑÍیã““

Bohat se logo ka akeeda ye hay k jo log wafaat ker gaye oleya, buzurg, naik log, Nabi() inki kabro se baatni faiz hasil hota hay. kuch log kaber pe ja k khetay hain k baba g ap hamari ALLAH se sifarish kerdo. koi kheta hay baba g ALLAH hamari sunta nahi or apki talta nahi. koi kheta hay baba g hame beta do ham apki kaber pe chader charhayengay ya daig charhayengay.is tarah ki bohat sari baatein hoti hen.in sab AKEDAY k baad kuch sawal uthtay hain
  • Sawal 1- kya murday hamen sun saktey hain ??
  • Sawal 2- kya hamen Kaber walo ko pukarna chahye ??
  • Sawal 3- ager wo sun saktey hain tu kya Murday hamari maddad ker saktey hain ??
  • Sawal 4- kabro or mazaaro pe hamen q jana chahye ??

HAM IN SAB SAWALO KO QURAN KI ROSHNI MEIN DEKHENGAY
Sawal 1- kya murday hamen sun saktey hain ??
ye sawal mushriko ka bhi tha.ager Ham Quran ko parhen tu Quran hamse kheta hay k

“Kabro mein pare hue tu sun b nahi saktey”
sura al-fatir, ayt 22
is ayt k baad mujhe kuch wazahat kerne ki zaroorat nahi. Aqal-o-shaoor rakhne wale zara ghor karen k jab Kaber walay hamen sun nahi saktey tu phir pukarne ka faida nahi, jab wo sun nahi saktey tu hamari maddad bhi nahi ker saktey. is ayt k baad sawal 2, sawal 3 ka koi matlab nahi banta. lekin mein janta hoon k log ayt ko nahi mantay balkay apney molveyo ki or logo ki or apne baap-dada k deen ki andhi pervi kertay hain. jiska islam se koi taluk nahi. un k lye mazeed ayaat pesh kerta hoon….
Sawal 2- kya hamen Kaber walo ko pukarna chahye ??


ALLAH k ilawa kisi or ko pukarna galata hay, shirk hay.
“Ae ALLAH ham tere taraf hi ibadat karte hain aur sirf tuj hi se se madat chahte hain”
sura fatiha
aik taraf tu wada karte hain k ham teri hi ebadat krte hain or tujh hi se maddad mangtay hen or dosre taraf ALLAH k bando ko maddat k liye pukarte hain?? ayt b ap k samne hay or aqeeda b ap k samne hay.
(topic 7 mein is sawaal per ham tafseel se baat ker chukay hen)


Sawal 3- ager wo sun saktey hain tu kya Kaber walay hamari maddad ker saktey hain ??

Sura Fatir ayt 22 mae ham parh chukay hen k kaber walay hamen nahi sun saktay.


bohat se log Nabi ki kaber pe jate hain or duwain mangtey hain. jab k Muhammed tu khud apni zaat k lye nafa nuksaan nahi rakhtey thay.

“khedo k mae apni jaan k lye b nafa nuksaan nahi rakhta”
al.aeraaf, ayt 188
“khe do k mere ikhteyar mae nahi tumhara bura bhala”
sura al-jin, ayt 21

jab Muhammed apni zindagi mein apni jaan k lye nafa nuqsaan nahi rakhtay tu apni mot k baad kese ...... Muhammed k ikhteyar mae logon ka bura bhala nahi tha. tu phir wafaat k baad kese ......? kuch hosh karen


jab Muhammed ne saaf inkaar ker dya tu phir in naami-garami oleya, peer or in jese logon ki kya OKAAT k Muhammed ki baraberi ker saken ......??

ALLAH janta hay in gumrah logo ko.ALLAH ne Quran mein saaf kaha k
“or ALLAH ko chore ker jin hasteyo ko pukartay ho tumhare hi jese banday hain”
sura al-aeraaf, ayt 194
hamen jo kuch mangna chaheye wo ALLAH se mangna chaheye hamen jo kuch milta hay sirf wahi deta hay. us k siwa hamen koi kuch nahi desakta.ALLAH ne alag alag ayaat mein is kaber parasti se mana fermaya hay

“or ALLAH k siwa dosri hasteya jin ko log pukartay hain kisi b chez ki khaliq nahi balkay wo tu khud makhlooq hain. murda hain jaan ki ramak tak nahi. unhe tu itna b nahi maloom k kab dobara zindaq kye jayengay”
sura al.nehel, ayt 20-21
“ALLAH ko chore ker jin hasteyo ko tum pukartay ho khajoor ki ghutli k chelkay ki b malik nahi”
sura al-fatir, ayt 13
“or is se zada gumrah kon jo ALLAH k siwa un hasteyo ko pukare jo qayamat tak jawab na de saken or inki pukaro se b ghafil hoon”
sura al-hakaaf, ayt 5
mazeed ayaat =
sura al-saba, ayt 22 sura al-hajj, ayt 73 sura younus, ayt 106 sura al-momin, ayt 14
sura ankaboot, ayt 41
Sawal 4- kabro or mazaaro pe hamen q jana chahye ??

islam ne hamen phelay mana kya k kabro ki taraf mat jao. phir hamen ijazat di gai k Kabro pe jao takay ibrat hasil ker sako, apni akhrat ko yad ker sako, apna gher dekh sako.pakistan or india mein jitnay b mazaar hain waha melay lagay hue hote hain, ganay, qawaleya baj rahi hoti hain, or is tarah k beshumaar kam ho rahe hote hain. ab mujhe ye bataien k waha ja ker kon ibrat hasil krega ......??

RESULT= Kabro se koi faiz hasil nahi hota.hamen sirf ALLAH se maddad mangni chaheye. hamen ALLAH k siwa koi kuch nahi de sakta. kaber wala hamen sun nahi sakta wo hamare lye kuch b nahi ker sakta.
  Reply With Quote
Reply

Tags
benifits, faiz, graves, qabron

Thread Tools Search this Thread
Search this Thread:

Advanced Search
Display Modes Rate This Thread
Rate This Thread:

 
 

Best view in Firefox
Almuslimeen.info | BZU Multan | Dedicated server hosting
Note: All trademarks and copyrights held by respective owners. We will take action against any copyright violation if it is proved to us.

All times are GMT +5. The time now is 06:06 AM.


Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.