Zakhm-e-tanhai main khushbu-e-hina kis ki thi
Saya diwar pe mera tha sada kis ki thi
Uski raftar se lipti rahi meri ankhen
Us ne mur kar bhi na dekha kay wafa kis ki thi
Waqt ki tarah dabay paon ye kaun aya hay
Main andhera jise samjha wo qaba kis ki thi
Anson se hi sahi bhar gaya daman mera
Hath to main ne uthaye the dua kis ki thi
Meri ahon ki zaban koi samajhta kaise
Zindagi itni dukhi mere siwa kis ki thi
Ag se dosti us ki thi jala ghar mera
Dai gaye kis ko saza aur khata kis ki thi
Main nay binaiyan bow kar bhi andhere kate
Kis kay bas main thi zamin abr-o-hawa kis ki thi
Chor di kis liye tu ne "Muzaffar" duniya
Justaju si tujhe har waqt bata kis ki thi