
21-01-2011, 02:29 PM
|
 | Contributor | | Join Date: Sep 2010 Location: Multan cantt
Posts: 618
Program / Discipline: Applied Biology Class Roll Number: infinity | |
"Wo ajnabi ajnabi se chehray, wo khwab khemay rawan dawan se" wo ajnabi ajnabi se chehray, wo khwab khemay rawan dawan se
basay hoy hain abhi nazer mai,sabhi manaazer dhu'an dhu'an se
ye aks-e-dagh-e-shikast-e-pemaan, wo rang-e-zakham-e-khalus-yaran
main gham gusaron mai sochta hon k baat cheron kahan kahan se
ye sangrezay adawaton k, wo abginay sakhawaton kay
dil-e-musafir qabool ker le, mila hai jo kuch jahan jahan se
bichernay wala bicher gya tha to nisbatean b ganwa k jata
tere liye ab b sheher bher se, mai zakham khaon zuban zuban se
meri muhabat k waahmo'n se paray tha tera wajood werna
jahan jahan tera aks thehra, mai ho k aya wahan wahan se
tu ham nafas hai na hmsafar hai, kisey khaber hai k tu kidher hai
mai dasatakean de k puch betha,makee'n makee'n se, makan makan se
abhi muhabt ka esam-e-azam, labon pe rehnay de jan-e- Mohsin
abhi hai chaht nae nae si, abhi hain jazbay jawan jawan se |