Teri chahat me hum zamana bhool gaye,
Tere baad kisi ko apnana bhool gaye,
Phir laga sara jahan veerana hum ko,
Jaise Chaman me phool meheknaa bhool gaye,
Tum se mohabat hi bataya saare Jahan ko,
Yahi baat tum ko batana bhool gaye,
Hum ne mita diya jahan bhi likha tha Naam Tera,
Magar apne dil se mitana bhool gaye,
Woh juda hue hum se muskrate hue,
Magar apni palkon se ansoo hatana bhool gaye... Main Apni Raton Ki Fursaton Me Tujhy Manaon To Maan Jana,
Agar Kisi Din Main Apny Ansu Jo Le K Aaon To Maan Jana,
Ye Ek diL Hi Tumhy Dia Tha So Is Ko Tum Ne Hi Tor DaLa,
Shikasta DiL Ki Jo Kirchion Ko Smet Laon To Maan Jana,
Tu Khush Nhi Hai Meri BaQa Per To Sirf Itna Bata,
Teri Khushi K Liye Jo SooLi Pe Muskraon To Maan Jana,
Tu Badguman Hai Meri Wafa Pr To Sirf Aik Bar Azma Le,
Jo Haar Jaon To LouT Jana,Jo Jeet Jaon To Maan Jana.
darte hai aag se kahi jal na jaye
darte hai khwab se kahin toot na jaye
lekin sabse ziyada darte hai aapse
kahin aap hume bhool na jaye Ek din hamare annsoon humse pooch baithe,
humey roz -roz kyon bulate ho,
Humne kaha hum yaad to unhe karte hain tum kyon chale aate ho.
Har phool ki ajab kahani hai,
chup rehna bhi pyar ki nishani hai,
kahin koi zakhm nai phir bhi kyun dard ka ehsas hai,
lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi uske paas hai. Kismat par aitbar kisko hai,
Mil jaye khushi inkaar kisko hai,
Kuch majburian hain mere dost,
Warna judai se pyaar kisko hai. Kal mila waqt to zulfein teri suljha doonga,
Aaaj uljha hoon zara waqt ko sulajhane mein,
Yun to sulajh jatee hain uljhi zulfein,
Umar kat jati hai waqt ko sulajhane mein.