
06-02-2011, 03:09 PM
|
 | Contributor | | Join Date: Sep 2010 Location: Multan cantt
Posts: 618
Program / Discipline: Applied Biology Class Roll Number: infinity | |
Na hoa naseeb qarar-e-jan, havis-e-qarar bhi ab nahi Na hoa naseeb qarar-e-jan, havis-e-qarar bhi ab nahi
tera intzaar buht kiya, tera intazaar bhi ab nahi
tujhy kia khaber mah-o- sal ne hame kesy zakham diye yahan
teri yaadgar thi ek khalish, teri yaadgaar bhi ab nahi
na gilay rahy, na guman rahy, na guzarishean hain na guftagu
wo nishaat-e-wada-e-wasal kia, hame etbaar bhi ab nahi
kisy nazer dean dil-o-jan bahm k nahi wo kakul-e-khm ba kham
kisy her nafas ka hisaab dean k shamem-e-yar bhi ab nahi
wo jo apni jan se guzer gye, unhe kia khaber hai k sheher main
kisi jaan nisaar ka ziker kia, koi sogwaar bhi ab nahi
nahi ab to ehal-e-janu mai bhi, wo jo shoq sheher mai aam tha
wo jo rang tha kabhi ku ba ku, sir-e-kuye yaar bhi ab nahi
(jun elia) |