
17-10-2008, 11:12 PM
|
 | Addicted to Computer | | Join Date: Sep 2007 Location: ------------ Age: 36
Posts: 1,309
Contact Number: --------------- Program / Discipline: BSIT Class Roll Number: 07-01 | |
Main Kiya Mangta hoon Ratoon ko uth kar, khiyallon say ho kar, yadoon main khoo kar,
tumhain kiya khabar hai apnay KHUDA say ... main kiya mangta hoon...!
veeranon main ja kar, dukhray suna kar,
daman phaila kar.aansoo baha kar,
tumhain kiya khabar apnay Khuda say main kiya mangta hon
tum to kaho gay,
sanam mangta hoon, Janam mangta hoon, zar mangta hoon,
main ghar mangta hoon, zameen mangta hoon, nageen mangta hoon...!
tum to kaho gay, hum ko khabar hai, kay ratoon ko uth kar,
khiyaloon say ho kar, yadoon main khoo kar, aankhain bhigo kar,
kisi dilruba ki, kisi dil nasheen ki, Wafa mangta hoon..
yeh bhi ghalat hai, Woh bhi ghalat hai, jo bhi hai soocha so bhi ghalat hai
na sanam mangta hoon, na zar mangta hoon
na dilruba ki, na dilnasheen ki, na mahjabeen ki wafa mangta hoon
tumhain kiya khabar hai... apnay Khuda say main kiya mangta hoon
main apnay Khuda say
Adam kay betay ki aanko say jati...haya mangta hoon
Hawa ki beti kay sar say utarti...rida mangta hoon....... |