BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan

BZU PAGES: Find Presentations, Reports, Student's Assignments and Daily Discussion; Bahauddin Zakariya University Multan (http://bzupages.com/)
-   Urdu Poetry (http://bzupages.com/109-urdu-poetry/)
-   -   Main Kiya Mangta hoon (http://bzupages.com/f109/main-kiya-mangta-hoon-1026/)

BSIT07-01 17-10-2008 11:12 PM

Main Kiya Mangta hoon
 
Ratoon ko uth kar, khiyallon say ho kar, yadoon main khoo kar,
tumhain kiya khabar hai apnay KHUDA say ... main kiya mangta hoon...!
veeranon main ja kar, dukhray suna kar,
daman phaila kar.aansoo baha kar,

tumhain kiya khabar apnay Khuda say main kiya mangta hon

tum to kaho gay,
sanam mangta hoon, Janam mangta hoon, zar mangta hoon,
main ghar mangta hoon, zameen mangta hoon, nageen mangta hoon...!
tum to kaho gay, hum ko khabar hai, kay ratoon ko uth kar,
khiyaloon say ho kar, yadoon main khoo kar, aankhain bhigo kar,
kisi dilruba ki, kisi dil nasheen ki, Wafa mangta hoon..
yeh bhi ghalat hai, Woh bhi ghalat hai, jo bhi hai soocha so bhi ghalat hai
na sanam mangta hoon, na zar mangta hoon
na dilruba ki, na dilnasheen ki, na mahjabeen ki wafa mangta hoon
tumhain kiya khabar hai... apnay Khuda say main kiya mangta hoon

main apnay Khuda say
Adam kay betay ki aanko say jati...haya mangta hoon
Hawa ki beti kay sar say utarti...rida mangta hoon.......

Muzammil 17-10-2008 11:56 PM

Re: Main Kiya Mangta hoon
 
awesome!

simple lines per baat bohot serious...

maloom nahi kab tumhari dua qabool hogi...

.BZU. 10-05-2009 11:26 PM

Re: Main Kiya Mangta hoon
 
nice... ho ja ay gi dua qabool insha Allah

Qurrat-ul-ain 11-05-2009 12:30 AM

Re: Main Kiya Mangta hoon
 
Na -ummedi ki bat Q kertay ho Mr. Emsplanet . Allah will bless u dear. Inshahallah

usman_latif_ch 17-08-2009 06:34 PM

Kya mangta hon
 
Raton ko Uth kar
Khyalon sey Ho kar
yadon mein koh kar
tumhe kya khabar he.........
Apne Khuda se, mein
kya mangta hon ..
Werano mein ja kar
Dukhrey suna kay
daman phela kay
ansoo bha kay
tumhe kia khabar he
apne Khuda sey
mein kya mangta hon
Tum tu kaho gay
sanam mangta hon
ganam mangta hon
zar mangta hon
mein ghar mangta hon
tum tu kaho gay
hum ko khabar hai
kay raton ko uth kar
yadon mein khoh kar
ankhen bhigo kar
kesi dilruba ki
kesi dilnashen ki wafa mangta hon
yeah bhi galat hai
woh bhi galat hai
jo bhi hai socha
woh bhi galat hai
na sanam mangta hon
na zaar mangta hon
na dilruba mangta hon
na dilnashen ki wafa mangta hon
tumhe kya khabar hein
Mein apnay kHuda sey
Adam ki beti ki
ankhon sey jati
hayya mangta hon
Mein hawwa ki beti ki
saar se utarti Rida mangta hon
Mein iss kare waqat mein apne Khuda
sey Pak watan ki
Baqa Mangta HON



All times are GMT +5. The time now is 10:24 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2026, Jelsoft Enterprises Ltd.