
03-03-2012, 04:31 PM
|
 | Senior Member | | Join Date: Sep 2008 Location: Lahore Age: 40
Posts: 6,663
Contact Number: 03009441339, 03334146191 Program / Discipline: Engineering Class Roll Number: BME-01083029 (The University Of Lahore) | |
Main aaina tha woh mera khayal rakhti thi, Main aaina tha woh mera khayal rakhti thi, Main toot'ta tha to chun kar sambhal rakhti thi, Har ek masle ka hal wo nikal rakhti thi, Zaheen thi, mujhe hairat mein daal rakhti thi, Main jab bhi tark-e-talluq ki baat karta tha, Wo mujhe rokti thi kal pe taal rakhti thi, Bas ek wo thi jise ghao mein dekhta tha, Bas ek wo thi keh jo andmaal rakhti thi, Woh mere dard ko chunti thi apne poron se, Woh mere waaste khud ko nadhal rakhti thi, Woh doobne nahi deti thi dukh ke dariya mein, Mere wajood ki nao uchhal rakhti thi, Dua’en uski bala’on ko rok leti thi, Wo char sau hathon ka dhal rakhti thi, Ek aisi dhun kahi nahi fir maine suni, Wo munfared si hansi mein kamal rakhti thi, Use nadamate’n meri kahan gawara thi, Wo mere waste asaan sawal rakhti thi, Bichad ke us’se main dunia ke thokron mein hoon, Wo paas thi to mujhe la’zawaal rakhti thi, Sahar tha naam, Ujale gulam the uske, Wo zindgi ke andhere ujaal rakhti thi, Wo muntazir meri rehti thi dhoop mein shayad, Main laut’ta tha chhaon nikal rakhti thi…!!! |