18-05-2011, 05:13 AM
|
| | | Join Date: Sep 2007 Location: near Govt College of Science Multan Pakistan
Posts: 9,693
Contact Number: Removed Program / Discipline: BSIT Class Roll Number: 07-15 | |
Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh dena koi khaas nahi. Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh dena koi khaas nahi.
Ek dost hai kaccha pakka sa, Ek jhooth hai
aadha saccha sa.
Jazbaat ko dhake ek parda bas, Ek bahana hai
accha sa.
Jeevan ka ek aisa saathi hai, Jo pass ho ke
bhi pass nahi.
Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh dena
koi khaas nahi.
Hawa ka ek suhana jhonka hai, Kabhi nazuk toh
kabhi tufaano sa.
Chehra dekh kar jo nazrein jhuka le, Kabhi
apna toh kabhi begaano sa.
Zindgi ka ek aisa humsafar, Jo samandar hai,
par dil ko pyaas nahi.
Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh dena
koi khaas nahi.
Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata
hai, Yaadon me jiska ek dhundhla chehra reh
jaata hai.
Yuh toh uske na hone ka kuch gam nahi, Par
kabhikabhi
aankho se ansu ban ke beh jaata
hai.
Yuh rehta toh mere tassavur me hai, Par in
aankho ko uski talaash nahi.
Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh dena
koi khaas nahi!!! |