Jo meri ankhon se khawab dekho
To ek bhi shab na so sako ge
Ke Laakh chaho na hans sako ge
Hazar chaho na ro sako ge
Ke Khawab kia hain azaab hain yeh
Mere dukhon ki kitaab hain yeh
Rafaqaten un ki choot-ti hain
Mohabbaten un ki rooth-ti hain
Panapti hain un main wehshaten si
Aziyaten un main phoot-ti hain
Inhi ke sar se khizaan hain jazbay
Inhi se shaakhen se toot-ti hain
Ghamon ki bandish main khawab mere
Dukhon ki barish main khawab mere
Ubal raha hai dukhon ka laawa
Zameen aatish hain khawab mere
Khayal saaray jhulas gaye hain
Sulagti khawahish hain khawab mere
Ukharti saansen hain zindagi ki
Lahu ki saazish hain khawab mere
Jo meri ankhon se khawab dekho
To ik shab bhi na so sako ge
Wasi Shah