Inqalab-e-Jahan ki bari hai
Aasmanon pay Khof tarri hai
Aap say darr rahi hai yeh Dunya
Yeh bhi kin aafton ki marri hai
Yeh Jannazah hai Ehd-e-Mazzi ka
Wo nae dor ki sawari hai
You hi majrooh tha yeh Nazm-e-Jahan
Per lagga ab kay Zakham karri hai
Sab ko kerna hai Inqalab ek roz
Aaj Hum kall tumhari bari hai
Shokh kitni hai Moat ki yeh sadda
Zindagi aaj kis ko pyari hai
Bat perwan zaban katti hai
Phir bhi fassana jari hai
Ab yeh Dunya hai Ehl-e-Dunya ki
Na hamari no wo tumhari hai
Chaman-e-Dolat wa Hakoomat ki
Khoon-e-Muflis say aabiyari hai
Yad rakh shorash-e-Zammana per
Ishq ki Eik baat bhari hai
Doar-e-Isslah Khatam ab tu MEHR!
Inqalab-e-Jahan ki barri hai....