29-10-2008, 05:43 AM
|
| | | Join Date: Sep 2007 Location: near Govt College of Science Multan Pakistan
Posts: 9,693
Contact Number: Removed Program / Discipline: BSIT Class Roll Number: 07-15 | |
Dukh dard k maron sa mera zikar na kerna dukh dard ke maron se mera zikar na kerna
ghar jao tu yaron se mera zikar na kerna
wo zabat na ker pain ge ankhon ka samandar
tum rah-guzaroon se mera zikar na kerna
phoolon ke nasheman mein raha hon mein sada se
dekho kabhi kharoon se mera zikar na kerna
shayad ye andheray hi mujhy raah dekhain
abb chand sitaron se mera zikar na kerna
wo meri kahani ko ghalat rang na de dein
afasana nagaroon se mera zikar na kerna
shayad woh merey khayal per be-sakhta ro dein
is bar baharon se mera zikar na kerna
lay jaein ge gehraye mein tum ko bhi baha ker
darya ke kinaron se mera zikar na kerna
wo shaks milay tu usay har baat batana
tum sirf isharaon se mera zikar na kerna |