
21-01-2009, 12:43 AM
|
 | | | Join Date: Aug 2008 Location: Multan
Posts: 551
Program / Discipline: MCS Class Roll Number: MCS-06-35 | |
Dar nahi Lagta Mjhe aatay jatay Mausamon say dar nahi lagta
Nae aur Pur-Azziyat Manzaron say dar nahi lagta
Khamoshi kay hain Aangan aur sanattay ki deewarein
Yeh kaisay Log hain jin ko Gharon say dar nahi lagta
Mjhay iss khakazi Kshti pay Ek andha bharosa hai
K Toofan main bhi Gehray panion say dar nahi lagta
Samandar cheekhta rehta hai Pas-e-Manzar main aur mujh ko
Andhairon main akalay Sahilon say Dar nahi lagta
Yeh kaisay Log hain sadion ki Veerani main rehtay hain
Inhen kamron ki boseeda chatton say dar nahi lagta
Mjhe kuch aisi Aankhen chaheiein apnay rafiqon ki
Jinhen bay-baq sachay Aainon say dar nahi lagta
Mere peechay kahan aaye ho Na-Maloom ki Dhun main
Tmhen kiya inn andhairon say dar nahi lagta
Yeh mumkin hai wo unn ko Moat ki Sarhad pay lay jaein
Parindon ko magar apnay parrron say dar nahi lagta
__________________ Qurrat-ul-ain |