13-05-2011, 12:27 PM
|
| Contributor | | Join Date: Sep 2010 Location: Multan cantt
Posts: 618
Program / Discipline: Applied Biology Class Roll Number: infinity | |
Buht milay hain, bicher k dekhean.... Muhabton ka shaor pa ker Wisaal ka be sarur pa ker Kami hai baqi Sakoon dil ko nahi hai hasil Bhanwer k jesa lagy hai sahil Samandron mai uter k dekhean Buht milay hain, bicher k dekhean Zara ye socho k Heer Ranjha Nahi milay ger, to kia hoa phir?? Tamam dunia wohi rahi hai Kehean pe koi kami nahi hai Samaaj se sab mitta k jhagery Ham eik dujay se larrh k deakhean Buht milay hain, bicher k dekhean Ye ibtada mai lagay ga mushkil Buht si raatean na so sakean gay Kabhi to hathon ko ham malean gay Kabhi in ankhon ko num karean gay Her ek naseehat boori lagy gi Jahaa’n se kam dosti rahy gi Meger phir akhar, buht din k baad Aisa ho ga k Zamany k sung chal parean gay Abhi se aao ye ker k dekhean Buht milay hain, bicher k dekhean
__________________
If u got nothing to lose, then baby u got it all....!!! |