woh chand hai roashn, wohi sitara hai
Abhi to sooch nay khol-e-kafan utara hai
Jo aankh jag rahi hai, woh aankh apni hai
Jo roz toot raha hai, woh dil hamara hai
Hamare dil mein bohat shor hai, bohat ghul hai
Kisi nay aaj humain be tarha Pukara hai
Azaab hai, K MOHABBAT hai, zindigi hai, keh tum...?
Tamam waqt iss hi sooch mein guzara hai...
Usey main bhoolney bethoon to nooch doon dil se
Magar woh shaks mujhe jaan say bhi piyara hai...!
Shumaar hum nay mohabbat ki Rahatein kab kein..?
Per ab ye sooch rahey hain bohat khasara hai
Na janeya aankha hai, parda hai, sooch hai k khalish
Na janey chanad hai ya phir husn hamara hai
Ye dard or barhey ga to phir dawa ho ga
Yehi tasal-e-dil hai, yehi sahara hai...
Tumhare dehaan mein reh kar bhi kya mila hum ko..??
Tumhare dehaan se bhi bahir kya nazaara hai..!
Regards