Abb kiun aisay udaas baithay ho? Abb kiun aisay udaas baithay ho?
jabb woh ik shakhs dastras main tha
uss se milna tumharay buss main tha
uss ki ankhain tumhari ankhain theen
uski batain tumhari batain theen
uska chehra tumhara chehra tha
uske dil par tumhara pehra tha
woh jo kehta tha bai qarari hai
meri sari wafa tumhari hai
sirf tumsay mujhay muhabbat hai
sirf tumsay meri haqeeqat hai
tabb tum uskay har aik jumlay ko
tabb tum uskay har aik jazbay ko
ikk hansi main uraya kartay thay
sunn k tum bhool jaya kartay thay
apni tanhai k galay lagg k
saray ansu woh ro gya ik din
aik pather say dil lagi kar k
khud bhi pather ka ho gya ik din
__________________
ladkian kaanch ki chorion ki tarah hoti hai
qaim rahain to shaan badhati hain.
Or ager toot jaen to koi bhi unhen samait ker apne hath zakhmi nahi kerta
dedicated to all girls www.momnagull.com |