08-07-2011, 09:10 AM
|
| | | Join Date: Sep 2007 Location: near Govt College of Science Multan Pakistan
Posts: 9,693
Contact Number: Removed Program / Discipline: BSIT Class Roll Number: 07-15 | |
Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahee imkaan, jaanaan Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahee imkaan, jaanaan
Yaad kya tujh ko dilaayain tera paimaan, jaanaan
Yun hi mausam ki ada dekh ke yaad aaya hai
Kis qadar jald badal jaatay hain insaan, jaanaan
Zindagi teri ataa thee tu tere naam ki hai
Hum ne jaise bhi basar ki tera ehsaan, jaanaan Dil yeh kehta hai ke shayad ho fasurda tu bhi
Dil ki kya baat karain dil tu nadaan, jaanaan
Awwal-awwal ki muhabbat ke nashay yaad tu kar
Be-peyey bhi tera chehra thaa gulistaan, jaanaan
Aakhir-aakhir tu yeh aalam hai ke ab hosh nahee
rag-e-meena sulag utthi ke rag-e-jaan, jaanaan
Muddattoon se yeh aalam na tawaqoo na umeed
Dil pukaare hi chala jaata hai janaan, jaanaan
Hum bhi kya saada thay hum ne bhi samajh rakha thaa
Gham-e-dauraan se juda hai gham-e-janaan, jaanaan
Ab ke kuch aisi saji mehfil-e-yaraan janaan
sar-ba-zanoo hai koi sar-ba-girebaan, jaanaan
Har koi apni hi awaaz se kaanp uth'ta hai
Har koi apne hi saaye se hiraasaan, jaanaan
Jis ko dekho wohi zanjeer-e-ba-paa lagta hai
Shehar ka shehar huwa daakhil-e-zindaan, jaanaan Ab tera zikr bhi shaayad hi ghazal mein aaye
Aur se aur huwe dard ke unwaan, jaanaan
Hum ke roothi huwi rutt ko bhi mana letay thay
Hum ne dekha hi na thaa mausam-e-hijraan, jaanaan
Hosh aaya tu sabhi khwaab thay raiza raiza
Jaise urrtay huwe auraaq-e-pareshaan, jaanaan |