Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahee imkaan, jaanaan Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahee imkaan, jaanaan Yaad kya tujh ko dilaayain tera paimaan, jaanaan Yun hi mausam ki ada dekh ke yaad aaya hai Kis qadar jald badal jaatay hain insaan, jaanaan Zindagi teri ataa thee tu tere naam ki hai Hum ne jaise bhi basar ki tera ehsaan, jaanaan Dil yeh kehta hai ke shayad ho fasurda tu bhi Dil ki kya baat karain dil tu nadaan, jaanaan Awwal-awwal ki muhabbat ke nashay yaad tu kar Be-peyey bhi tera chehra thaa gulistaan, jaanaan Aakhir-aakhir tu yeh aalam hai ke ab hosh nahee rag-e-meena sulag utthi ke rag-e-jaan, jaanaan Muddattoon se yeh aalam na tawaqoo na umeed Dil pukaare hi chala jaata hai janaan, jaanaan Hum bhi kya saada thay hum ne bhi samajh rakha thaa Gham-e-dauraan se juda hai gham-e-janaan, jaanaan Ab ke kuch aisi saji mehfil-e-yaraan janaan sar-ba-zanoo hai koi sar-ba-girebaan, jaanaan Har koi apni hi awaaz se kaanp uth'ta hai Har koi apne hi saaye se hiraasaan, jaanaan Jis ko dekho wohi zanjeer-e-ba-paa lagta hai Shehar ka shehar huwa daakhil-e-zindaan, jaanaan Ab tera zikr bhi shaayad hi ghazal mein aaye Aur se aur huwe dard ke unwaan, jaanaan Hum ke roothi huwi rutt ko bhi mana letay thay Hum ne dekha hi na thaa mausam-e-hijraan, jaanaan Hosh aaya tu sabhi khwaab thay raiza raiza Jaise urrtay huwe auraaq-e-pareshaan, jaanaan :sorry::24::girly000:
|
All times are GMT +5. The time now is 02:58 PM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.2
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.