Aadat hi bana li hay,
Is shehar kay logon nay
Andaaz badal lena,
Aawaz badal lena
Duniya ki mohabbat main,
Atwar badal lena,
Mosam jo naya aye,
Raftar badal lena
Aghyar wohi rakhna,
Ahbab badal lena
Adat hi bana li is,
Shehar kay logon nay
Rastay main agar milna,
Nazron ko jhuka lena
Awaz agar doon to,
Katra kay nikal jana
Har ik say juda rehna,
Har ik say khafa rehna,
Har ik ka gila karna,
Jaty howay rahi ko,
Manzil ka pata day kar
Rastay main rula dena,
Aadat hi bana li hay...