Ay Chand ki kirno jao na,
Tum ''US ko CHOO Kar aao na,
Wo kab kab kya kya karta hai?
WO jagta hai ya sota hai,
WO kis se batein karta hai,
WO shaam ko kaisa lagta hai,
WO raat ko kesa dikhta hai,
Jab soey kesa lagta hai,
Jab jagey kesa dikhta hai,
TUM chupkay chupkay jao na,
TUM" US " ko CHOO kar Aao na,
HAM us k bina adhore hain,
Or jina mushkil lagta hai,
Tum kaan me us k keh dena,
Koi yaad bohat use krta hai.
Ay chaand ki kirno jao Na...